لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shukriya ya Fatima(sa)

Shahid Baltistani2022
ShiaNohaLyrics
Saiyyada - 2 Abad wallah ya zahra ma ninsa hussaina - 2 Matami mujko banaya Apne mazloom ka Shukriya Ya Fatima(a.s) Meri Matti Main Bhi Rakh di (2) Apny Khaak-e-shifa, Shukria Ya Fatima(a.s) Matami muj ko banaya Apny mazloom ka Shukriya Ya Fatima(a.s) Matami mujko banaya apne mazloom ka Shukriya Ya Fatima(a.s) Jab Bichaya Farsh-e-matam hazrate shabbir(a.s) ka Pursa lene Qabr say aayi mery ghar Fatima(a.s) Yeh mera kaccha makan bhi rashqe jannat ho gaya Shukriya Ya Fatima(a.s) Matami mujko banaya apne mazloom ka Shukriya Ya Fatima(a.s) Dil Bhatakta tha mera duniya ke gham main darbadar Aap ne kar ke meri kotahiyo ko darguzar bakshvane ke liye Karbobala bulwa leya Shukriya Ya Fatima(a.s) Matami mujko banaya apne mazloom ka Shukriya Ya Fatima(a.s) Zulm ka ayvaan khutbo se giraya apny haq miley ya na miley sir na jukaya apny nusrate mazloom ka humko dekhaya raasta Shukriya Ya Fatima(a.s) Matami mujko banaya Apny mazloom ka Shukriya Ya Fatima(a.s) Haye ali mola ali haye ali mola ali Jab bandi gardan main rasi shahe khabargir ke - 2 Apne waali ko bachaya zalimo se apne Hashr tak haider ke lab per hai tabhi ye marsiya Shukriya Ya Fatima(a.s) Matami mujko banaya Apne mazloom ka Shukriya Ya Fatima(a.s) Ehterame Fatima (a.s) ka ya mila usko sila Uska qad bhi Anbiya sy ek lamhay main badha Rukh baqaiya ki taraf karke ye di hur ne sada Shukriya Ya Fatima(a.s) Matami mujko banaya Apne mazloom ka Shukriya Ya Fatima(a.s) Jaake balwe me bachaya ismate shabbir ko Tarbiyat yu aapne di zainabe dilgeer ko Meri behno ko bhi parde ka saliqa aa gaya Shukriya Ya Fatima(a.s) Matami mujko banaya Apne mazloom ka Shukriya Ya Fatima(a.s) Jab suni maa ne madine me ye zainab se khabar Hogaye shabbir pe qurbaan uske sab pisar Kehke ye ummul baneen ne shukr ka sajda kiya Shukriya Ya Fatima(a.s) Matami mujko banaya Apne mazloom ka Shukriya Ya Fatima(a.s) Haayee... Dekhte hai ek hasrat se teri tuti lahad -2 Aur bhala darwaish kya hogi kareemi ki sanad Tune har ek matami ka dil baqaiyya kar diya Shukriya Ya Fatima(a.s) Matami mujko banaya Apne mazloom ka Shukriya Ya Fatima(a.s)