لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Haaye Mazloom Ali (as)

Shahid Baltistani2023
ShiaNohaLyrics
ya Ali haae Ali bain karti hi rahi, qabr se yeh bint-e nabi haae mazloom Ali, mere mazloom Ali mere pehlu ki terhan, aap ka sir hai zakhmi gunbade Khizra o kaaba mein bapaa hai maatam tod kar bande kafan mein ne kya hai maatam jis ghadi aap pay masjid mein hai talwar chali haae mazloom Ali, mere mazloom Ali mere baba se kiya wada nibhanay keliye khud ko tanha kiya islam bachanay ke liye shidat-e-Adl tairay peeron ki zanjeer bani haae mazloom Ali, mere mazloom Ali qatl mohsin ho ya darbaar mein meri paishi zabt khud par kiya aur mujh ko tasalli bhi di aap ki terhan jahan mein nahi mazloom koi haae mazloom Ali, mere mazloom Ali aaj koofe ki hai shehzadi tumhari beti kal isi shehar mein aaye gi woh ban kar qaidi aakhri had mere waali hai yeh gurbat ki teri haae mazloom Ali, mere mazloom Ali us ghadi khatm hui theen meri saari khushiyaan zindah rehne ki mere dil mein thi hasrat hi kahan mein ne jab aap ki gardan mein rasan dekhi thi haae mazloom Ali, mere mazloom Ali haae, waqt e rukhsat tha qayamat yeh tasalli thi magar aap ka saya to baqi hai mere bachon par aap ne kaisay vidaa bachon se mangi hogi haae mazloom Ali, mere mazloom Ali bain yeh mohsin o darwaish kiya Zahra ne kal unheen ke liye aaye thay jinah se kapray aayi hai eid pay kofe mein jin aankhon mein nami haae mazloom Ali, mere mazloom Ali bain karti hi rahi, qabr se yeh bint-e nabi haae mazloom Ali, mere mazloom Ali