لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Qabr Zahra ki banana

Shahid Baltistani2023
ShiaNohaLyrics
Sayyeda Sayyeda Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2) Phir nisha'n us ka mitana..(2), koi aasaan na tha Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2) 1. Baad baba ke ajab aalam e tanhayi tha aur phir saara madina hi, tamashayi tha Fatima par wo zamana..(2) koi aasaan na tha Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2) 2. Haath paband hai gardan mein, hai jiske rassi hai wo mazloom mera waali, zamane ka wali jaake darr darr pe batana..(2) koi aasaan na tha Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2) 3. Pasliya'n toot ke yu choor thi shehzadi ki..(2) karne lagti thi jo khaliq ki, ibadat bibi haath pehlu se hatana..(2) koi aasaan na tha Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2) 4. Pucha zainab ne jo baalo mein safedi kyu hai? roke beti se faqat itna kaha zahra ne bhare darbaar mein jana..(2) koi aasaan na tha Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2) 5. Mekh darwaze ki pehlu mein gadhi thi lekin dard saans bhi lena tha, jaha naa mumkin phir bhi haider ko bachana..(2) koi aasaan na tha Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2) 6. Thi wo ghurbat ki bohot sakht ghadi Zahra par qatl mohsin bhi hua mujhpe, gira jalta darr ghum yeh haider ko batana..(2) koi aasaan na tha Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2) 7. Qabr e Zahra pe yeh kehte the Ali ro rokar..(2) tha mere waaste asaan, uthana khaibar tera taboot uthana..(2) koi aasaan na tha Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2) 8. Maamta maa ki Raza hum se raqam kaise ho haaye darwesh ke us dard mein bhi baccho ko apne pehlu mein sulana..(2) koi aasaan na tha Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2)