لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye meri jaan Akbar

Shahid Baltistani2024
ShiaNohaLyrics
Jab ran ko chale khaime se hum-shakl e payambar Laila ne kaha bete ko seene se lagakar Aye meri jaan Akbar Aye meri jaan Akbar, jab zakhm koi khana baba se chupana Laila ne kaha rokar jab dard ho seene mein tum maa ko batana Aye meri jaan Akbar, jab zakhm koi khana baba se chupana 1. Laashe utha utha ke ab thak chuke hai baba atthara saal wala tu hai jawan beta mai janti hu akbar, mushkil hai zaeefi mein tera laash uthana 2. Mar jaye jiska beta woh kaise ghum uthaye tujhse lipat ke ran mein shabbir mar na jaye is maa ke liye akbar, asaa'n nahi khaimo mein do laasho ko lana 3. Rakhe khuda salamat akbar teri jawani bus tu hi Mustafa ki hai akhri nishani takte hai tera chehra, jab bhi tere baba ko yaad aate hai nana 4. Barchi ka dard seh kar thehroge kaise zee'n par jab dil pe hath rakh kar girne lago zamee'n par mai tumko sambhalungi, godi mein uthalungi tum mujhko bulana 5. Aye laal sabr karna naa dard se tadapna baba ke saamne tum mat aediya'n ragadna tum bete ho Laila ke, woh dilbar e Zahra hai yeh bhool na jana 6. Jaate hue phuphi se ek baar aur milna armaan dil me koi reh jaye na adhura Zainab ki tamanna hai, beta tere maathe par sehra hai sajana 7. Jab Sughra yaad aayi ro ro ke maa pukari hai muntazir watan mein kabse behen tumhari yeh bhool nahi jana, Sughra se abhi tumne wada hai nibhana 8. Zeeshan Abidi woh maa gir gayi zamee'n par khaime se jab jawa'n ko rukhsat kiya ye kehkar jab barchi koi maare, is chand se seene se na dhaal hatana Aye meri jaan Akbar, jab zakhm koi khana baba se chupana