لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karo matam Hussain ka

Shahid Baltistani2024
ShiaNohaLyrics
karo maatam Hussain ka haan karo maatam Hussain ka Zahra ke chayn ka maula Hussain ka maatam karo farsh bichaa lo halqa bana lo yeh keh raha hai mahe Azaa haan karo maatam Hussain ka Zahra ke chayn ka maula Hussain ka maatam karo Hussain Hussain maula, maula Hussain Hussain Hussain maula, maula Hussain yeh azadari taaziya daari Zahra ke ghar se hai wafadaari ansoo baha kar nohay suna kar karte rahengey ye pursa daari jab tak hamari sansen hain baqi dil se yeh gham na hoga juda haan karo maatam Hussain ka Zahra ke chayn ka maula Hussain ka maatam karo Hussain Hussain maula, maula Hussain Hussain Hussain maula, maula Hussain yeh jo hamaray ghar par alam hai shahe wafa ka hum par karam hai saaye mein is ke maatam karaingay jitna hamaray seenon dam hai farsh Azaa ka bichta rahay ga kehte rahengey hum yeh sada haan karo maatam Hussain ka Zahra ke chayn ka maula Hussain ka maatam karo Hussain Hussain maula, maula Hussain Hussain Hussain maula, maula Hussain yeh maatami jo halka laga hai thok ke seenah yeh keh raha hai maatam se hum ko rokay na koi zainab se hum ne wada kiya hai seenay pay Daaghe maatam saja ke karte rahengey wada wafa haan karo maatam Hussain ka Zahra ke chayn ka maula Hussain ka maatam karo Hussain Hussain maula, maula Hussain Hussain Hussain maula, maula Hussain ehley haram ko aur un ke gham ko bhool na jana tum is karam ko jis ne khuda se manga tha ghazi us fatima ne manga hai hum ko hai khush naseebi hum hai hussaini aur hain duaye khayrunnisa haan karo maatam Hussain ka Zahra ke chayn ka maula Hussain ka maatam karo Hussain Hussain maula, maula Hussain Hussain Hussain maula, maula Hussain Zahra hon Raazi maatam ho aisa jo is ka haq hai pursa ho waisa khud ko bhula kar maatam karo tum ae azadaron sharmana kaisa hai yeh ibadat chhodo nazakat ban kar faqeere karbobala haan karo maatam Hussain ka Zahra ke chayn ka maula Hussain ka maatam karo Hussain Hussain maula, maula Hussain Hussain Hussain maula, maula Hussain sun kar bichaao gham ka musalla hayya alal aza hayya alal aza haath hamaray ban kar namazi karte rahengey seenay pay sajda baad Iqamat karlo niyat qurbatan shaahe wafa haan karo maatam Hussain ka Zahra ke chayn ka maula Hussain ka maatam karo Hussain Hussain maula, maula Hussain Hussain Hussain maula, maula Hussain qaid sitam se paake rihayi har bibi apne pyaron ko roi us waqt lekin beti Ali ki bachon ko apne bilkul na roi chhootey se haae do sir jab aaye bibiyon se zainab ne kaha haan karo maatam Hussain ka Zahra ke chayn ka maula Hussain ka maatam karo Hussain Hussain maula, maula Hussain Hussain Hussain maula, maula Hussain ghar ghar mein maatam ki jo sada hai yeh ehtijaj karbobala hai baatil ke mun pay hai ye tamache is ne hi haq ko zindah rakha hai zeeshan hum ko darwaish gham ko bedaar rakhti hai yeh sada haan karo maatam Hussain ka Zahra ke chayn ka maula Hussain ka maatam karo Hussain Hussain maula, maula Hussain Hussain Hussain maula, maula Hussain