لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Pyaasi Sakina

Shahid Baltistani2024
ShiaNohaLyrics
Qaid khane mein ye ek roz Sakina ne kaha manzile pyaas ki kitni hai batao bhaiyya Haye Abid ne kaha sunke Sakina ki sada pyaas ki char(4) manazil hai, aye pyasi behna Yeh boli Sakina, sunao na bhai hai kya pyaas mujhko, batao na bhai Haye Sakina, Pyasi Sakina..(2) 1. Kaha roke Abid ne, aye pyasi behna nazar aaye jis dum dhua'n hi dhua'n sa hai yeh pyaas ki pehli manzil Sakina Haye, Yeh sunkar Sakina pukari tadap ke suna tha yeh Qasim ke sukhe labo'n se chacha jaan mai itna pyasa hu ke ab dhua'n chha raha hai nigaho ke aage jo us waqt Qasim pe mushkil thi bhaiyya wahi pyaas ki pehli manzil thi bhaiyya Haye Sakina, Pyasi Sakina..(2) 2. Ho lab tishnagi se ye halat badan ki chipak jaye taalu se sukhi zuba'n bhi hai yeh dusri manzil e pyaas bibi Haye, Yeh manzil bhi dekhi hai baba pe maine kaha pyase akbar ne jab ran se aake zuba'n rakhke baba ke sukhe dahan mein mere bhaiyya akbar tadap kar pukare zuba'n khushk hai ab, dahan mein hai kaa'nte mere baba mujhse zeyada hai pyaase Haye Sakina, Pyasi Sakina..(2) 3. Kabhi pyaasi machli ki halat suni hai woh jab baar baar apna muh kholti ai yehi teesri manzil e tishnagi Haye, Yeh sunte hi Abid se boli Sakina yehi haal tha mere Asghar ka bhaiyya litaya tha baba ne jalti zamee'n par tadapte hue jab woh sakit hua tha kabhi kholta tha woh pyaase labo'n ko kabhi band karta tha sukhe labo'n ko 4. Kaha phir yeh Sajjad ne Shahzadi na baqi rahe jab badan mein nami bhi hai yeh akhri manzil e pyaas bibi haaye, haaye Hai is manzil e pyaas par yeh behen bhi nami se mehroom mera badan bhi mere haath ab mere bus mein nahi hai hai paiwast mere gale me rasan bhi aye bhai zyada na jee paungi ab mai baba se milne chali jaungi ab Haye Sakina, Pyasi Sakina..(2) 5. Jo Sajjad se pyaas ka puchti thi woh raat aa gayi chal basi jab woh pyaasi hilata raha uske shano ko Abid magar bhai se woh Sakina na uththi lipatkar woh soyi hai baba ke sar se bohot thak chuki pyaas ke is safar se Haye Sakina, Pyasi Sakina..(2) 6. Sunau mai Zeeshan manzar woh kaise rasan bhi na khul payi haatho se uske Lahad mein Sakina ke laashe ko rakhke kaha roke Abid ne baba ke sar se aye mazloom beti ke mazloom baba tumhare hawale tumhari Sakina tumhare hawale tumhari Sakina