لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sughra Ko Nahi Laye Hussain

Shahid Baltistani2024
ShiaNohaLyrics
karbalaa is liye sughra ko nahi laaye Hussain pardes gaye baba dais mein sghra tanha hai hubahu fatima jaisa hi tha chehra uss ka karbalaa is liye sghra ko nahi laaye Hussain baap ko dekhe gi woh dasht mein kaisay pyasa phir nabi zadi ko yeh din na dikhaye koi raah mein is ko tamache na lagaye koi zakhmi hathon se chupaye na woh zakhmi chehra aaye gi khaimon mein jab laash Ali akbar ki hogi uss waqt kaleje mein Sina tooti hui dekh na paye gi bhai ka woh zakhmi seenah sheh ne dekha tha usay baithy hue jhulay ke paas apne hathon se banatay hue asghar ke libaas khoon mein dooba hue dekhe gi woh kaisay Kurta taoq sajjad ki gardan se chhudanay ke liye peechay peechay na chali aaye bachanay ke liye haae taziyaana koi maaray na samajh kar Zahra dekh kar is ko tamashaayi kahenge hans kar yeh to hai fatima Zahra usay maro pahther meri beti se liya jaye ga khhum ka badla sheh ne nana ki lehad chhodi thi yeh kehte hue koi to ho jo mere baad meri janib se aake rozay pay jalaaye mere hissay ka diya sheh ne zeeshan kaha aik sabab hai yeh bhi bhai ko jaisay shaam mein manwaye gi yeh mera naam madine mein rakhay gi zindah