لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain Ibne Muhammad (sawa)

Shahid Baltistani2025
ShiaNohaLyrics
Hussain - 4 Aao aao aashiqane Mustafa Ye mahe aza hai, ye mahe aza hai, ye mahe aza hai Is zameen ta arshe bari chaaron taraf, jo gham ki faza hai Ye mahe aza hai, ye mahe aza hai, ye mahe aza hai Aarzue Kibriya hai, maatam-e-Hussain Baksheesho ka raasta hai maatam-e-Hussain Aur Nizaam-e-Mustafa hai maatam-e-Hussain Maatam-e-Hussain Ali o Fatima ka laal hai ye Khuda ka laadla Hussain Hussain Hussain Hussain ibne Mohammad Swallallahu Alaihi wa aalehi Koi nahi koi nahi laadla aisa Jiske liye Rab ne ho qanoon ko badla Saare sahifon mein, kitaabon mein likha hai chakhna kisi mitti ko jaayaz nahi wallah Magar Hussain, tera jahan pe khoon gira Kiya Khuda ne use khaake shifa Ali o Fatima ka laal hai ye Khuda ka laadla Hussain Hussain Hussain Hussain ibne Mohammad (S.A.W.) Roz-e-azal bol chuka Khaliq-e-Akbar Khuld ki shay khuld se jaati nahi baahar Kaala libaas iske liye pehna hai humne Jiska libaas aaya tha jannat se zameen par Ye humse mat poocho, humein nahi toko Hai dum to badlo ghilaaf-e-Kaaba Ali o Fatima ka laal hai ye Khuda ka laadla Hussain Hussain Hussain Hussain ibne Mohammad (S.A.W.) Hamare ishq ki misaal — Karbala Hamara markazi khayaal — Ya Hussain Pehli dafa god mein jab tujhko uthaya Khud ko Mohammad ne azaadaar banaya Naana ke ashkon ko bhulaya nahi tune Deene Mohammad tha magar tune bachaya Ae aashiqane Nabi, aza mein aansoo abhi bahaao kar lo Mohammad se wafaa Ali o Fatima ka laal hai ye Khuda ka laadla Hussain Hussain Hussain Hussain Mohammad (S.A.W.) Aaqa Mohammad ke gharaane ka ye ghum hai majlis Shabbir mein aana ye karam hai ye jo badi shaan se ghar ghar pe lagaa hai Aale — Mohammad ki nishani — ye alam hai Alam uthaate raho, ye gham manaate raho Ali o Fatima se le lo duaa Ali o Fatima ka laal hai ye Khuda ka laadla Hussain Hussain Hussain Hussain Mohammad (S.A.W.) Hamare ishq ki misaal — Karbala Hamara markazi khayaal — Ya Hussain Ana majnoonal Hussain - 4 Tere hi maatam mein fanaa hai meri hasti Karb-o-bala hi to fakeeron ki hai basti Kaise samajh paaye malangon ko zamaana Aql se baalaa hai tere ishq ki masti Aye Sakhi ibne Sakhi, tu banaata hai wali Hai ye Shahbaz Qalandar ki sadaa Ali o Fatima ka laal hai ye Khuda ka laadla Hussain Hussain Hussain Hussain ibne Mohammad (S.A.W.) Iska lahoo mera lahoo, iska badan mera badan hai Iski aankhen meri aankhen, Iska chalan mera chalan hai Ye Qawle — Nabi hai, ye qawle — Nabi hai, kya kahein Zeeshan aur darveshe azaa... Afsos yehi hai - 2 jo Mohammad ne kaha Logon ne woh juthlaaya Haaye Mehmaan use karbobala bulwaaya Usko paani na diya, uska ghar loot liya Zakhmi naize se kiya seena Ali Akbar ka teer se cheed diya nanha gala Asghar ka uska Qasim na raha Uska Gazi na raha Mar gaye auno Mohammad, koi yawar na bacha Reh gaya dasht mein tanha woh gareebe Zahra Murtajiz sawar akela chala — Hussain Teeron tabar gurz se zakhmi hua Hussain Itne sitam par bhi sambhalta raha Hussain Maar ke nezon se giraaya gaya Hussain Shimre laeen shah ke jab seene pe aaya haaye kheench ke baalon se Tamaacha bhi lagaaya Haath rakha maan ne bahut baar bachaaya Haye magar kat gaya sar — bach nahi paaya Shimr chala — baalon se jab sar ko uthakar Fatima zahra ne kaha khaak udaakar — Hussain wawayla Hussain wawayla - 4