لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Maar gaya baba

Shahid Baltistani2025
ShiaNohaLyrics
Haay Baba Maar Gaya Baba Baba Maar Gaya Baba Teri Zainab Ko Abbas Ka Marna Maar Gaya - 2 Bin Baazu Ke, Bin Baazu Ke Wo Ghazi Ka Ghoday Se Girna Maar Gaya, Maar Gaya Baba Teri Zainab Ko Abbas Ka Marna Maar Gaya - 2 1. Jab Khayme Mein Aaye Shahe Umam Haathon Mein Tha Bas Ghazi Ka Alam, Abbas Nahin, Abbas Nahin Ab Aayega Bhai Ka Yeh Kehna Maar Gaya 2. Main Sher Ke Jaise Bhai Ka Pehchaan Nahin Paayi Laasha Qasim Ki Tarah, Qasim Ki Tarah Se Ghazi Ka Tukdon Mein Bikharna Maar Gaya 3. Jab Aankh Se Teer Nikaala Tha, Main Dekh Rahi Thi Khayme Se Mere Ghazi Ka, Mere Ghazi Ka Khoon Sarwar Ke Haathon Se Tapakna Maar Gaya 4. Haay Baba Haay Baba Yeh Shaam Ke Zalim To Apne Ghodon Ko Pilaate Hain Paani, Haay Baba Yeh Shaam Ke Zalim To Apne Ghodon Ko Pilaate Paani Haathon Mein Liye, Haathon Mein Liye Khaali Quze Bachon Ka Bilakhna Maar Gaya 5. Jab Se Yeh Suna Hai Ke Pyasa Sakka-E-Sakina Maara Gaya, Sakka-E-Sakina Maara Gaya Ab Paani Nahin, Ab Paani Nahin Mil Paayega Asgar Ka Samajhna Maar Gaya 6. Zalim Ne Chadhaya Tha Ran Mein Jis Neze Par Abbas Ka Sar Us Neze Se, Us Neze Se Baba Meri Chadar Ka Utarna Maar Gaya 7. Rahwar Pe Hokar Bhi Jiske Khat Paaon Zameen Par Khenchte The, Us Bhai Ka, Us Bhai Ka Asgar Jaise Turbat Mein Simatna Maar Gaya 8. Maqtal Mein Bohot Dhoonda Usne Nasha Na Mila, Do Haath Mile Un Haathon Se, Un Haathon Se Meri Bachi Ka Roro Ke Lipatna Maar Gaya 9. Zeeshan Kaha Yeh Zainab Ne Jab Sheh Pe Chali, Tera(13) Zarbe Ghazi Ko Sadaaye, Ghazi Ko Sadaaye Dedekar Bhai Ka Tadapna Maar Gaya