لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ab Sakina Ka Dam Nikalta Hai

Shahzain Haider2021
ShiaNohaLyrics
Ab Tou Ajao Aey Mery Baba Ab Sakina Ka Dam Nikalta hai Band hone Ko Hai zaban meri Zindagi ka Chiragh Bujhta hai Dadi Zahra ki goud main sar hai neel chehre k chumti hein woh jab mai kehti hon ya ali rokr mery sirhany dekhti hein woh inki goudi mai dekhlo baba mery kano ka khoon tapakta hai nabz thamy huye mery bhaiyya rourahy hein phupi tarapti hein amma mujh ko sadayen de de kar mera shana hila ke routi hein mujhko lekin ab aysa lagta hai paas asghar kahen humakta hai karbala waly agaye baba kandha deny mery janaza ko ammu routy hein sar jhukaye huye bhaiyya akbar bhi agaye dekho arahi hai sada madiny ki sab ke rouny ka shour uthta hai baba mudat sy mai nahi soyi lekin ab nend arahe hai mujhe aap ka sar rakha hai mery paas baba sina bhi chahiye hai mujhe khul gai reesma galy ki magar khoon ab bhi galy sy rista hai baba in zalimo ne khoon mera haye kis kis tarhan bahaya hai patharon sy kiya gaya zakhmi pushte naqa sy bhi giraya hai taziyano k zakhm itny hein khoo'N sy kurta mera chipakta hai baba kano ki baliyan kya mai dena deti jo mangta koi kis tarhan baliyan chini meri haye baba bata nahi sakti kya yatemi isi ko kehte hein zulm jab had sy yun guzarta hai ab bhi zindaa'N ka hai SAMAR Noha marte dam bhi nahi mila pani haye piyasi he margai bachi kehte kehte gai chacha pani ab bhi lagta hai jesy zinda'N mai koi qaidi yeh noha parhta hai