لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Yaad sughra ko baradar

Shajar Naqvi2017
ShiaNohaLyrics
Yaad sughra ko baradar ki bahot aati hai Rab hi jaane ke wo jeeti hai ke mar jaati hai Bhai pardes me hai aur watan me hai bahen Ya ke jakdi huii furqat ki rasan me hai bahen Door bhai se ho khwahar to bikhar jaati hai Vaada aane ka kiya tha to na aaye kyunkar Kya huwa kuch to khabar dijiye bhai akbar Dekhu qismat mujhe kab aapse milvati hai Bhayya akbar Ali asghar ko bhi lekar aana Tumko sughra ne bulaya hai ye us se kahna Har nafas uski ada rooh ko tadpati hai Bhayya kis haal me sughra hai khabar hai tumko Bhayya gar tum nahi aate to mujhe bulva lo Hijr ki aag jigar ko mere jhulsati hai Bhayya amma ko meri yaad nahi aati kya Unko malum nahi haal hai kya beti ka Sughra tanhayi ke aalam me hai ghabrati hai Bhayya jab aapke qadmo ke nisha.n dekhti hu.n Chikh ke roti hu.n aankho se use chumti hu.n Aapki shakl nigaho.n me ubhar aati hai Bhayya mai roti hu.n nana ki lahed par jaa kar Unse kahti hu.n salamat rahe mera akbar Kho ke bhai ko bahen bhi kahan jee paati hai Bhayya kya baat hai ab khwab me bhi aate nahi Bhayya kyu roothe ho khwahar se ye batlate nahi Bhayya kya mere bina zeest tumhe bhaati hai Bhayya pardes me rakhna mere baba ka khayal Meri janib se na hargiz ho unhe koi malal Unse mat kahna ke sughra tumhe yaad aati hai Haan meri baali sakina ko sambhale rakhna Usko har ek aziyat se bachaye rakhna Bhayya bin uske mujhe nind nahi aati hai Bhayya pardes me shadi na rachana hargiz Is bahen ke bina sehra na sajana hargiz Ye bahen dil ko is armaan se bahlati hai Jab bhi nauha ye sunate hain Azim aur shajar Ashk aankho se bahate hain azim aur shajar Haan ye roodade alam khoo.n se likhi jaati hai