لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Akbar ne kaha baba se

Shozab Abbas2014
ShiaNohaLyrics
Haye akbar a.s ×4 Haye akbar,,haye akbar,,haye akbar,,, Akbar ne kaha baba se dum ghut ne laga hai ×2 Akbar ne kaha baba se dum ghut ne laga hai,, Seene mein hai barchi mere aur dard bada hai,, Akbar ne kaha baba se dum ghut ne laga hai ×2 Barchi mere seene mein jo tooti hai sitam ki Tazeem ko aey baba ye uthne nahi deti Barchi ne sitamgar ki mujhe maar diya hai,, Akbar ne kaha baba se dum ghut ne laga hai ×2 Baba meri sughra ka to kuch haal sunao Tasveer madeene ki mujhe baba dikhao Wada bhi mera saath hi dum tod raha hai,, Akbar ne kaha baba se dum ghut ne laga hai ×2 Atthara baras pyaar se pala tha phupi ne Khwabo'n mera sehra sajaya tha phupi ne Armaan phupi ka meri mitti mein mila hai,, Akbar ne kaha baba se dum ghut ne laga hai ×2 Aey baba zaeefi se na uth payega lasha Zainab s.a ko bula ligiye wo dengi sahara Baba mera lasha dare khaiber se bada hai,, Akbar ne kaha baba se dum ghut ne laga hai ×2 Pehle mere baba dile muztar ko sambhalo Phir naiza mere seene se aahista nikalo Wo naiza jo seene mein mere toot chuka hai,,, Akbar ne kaha baba se dum ghut ne laga hai ×2 Barchi jo nikali to kalaija nikal aaya Tharrayi zamee'n kaanp utha arshe muwalla Sadaat mein ik shor qayamat ka bapa hai,,, Akbar ne kaha baba se dum ghut ne laga hai ×2 Aey SHOZAB o QAISAR ye qayamat ka hai manzar Barchi ne kiya istarha ghayal dile akbar a.s Baba ki wo aagosh mein dum tod gaya hai,,, Akbar ne kaha baba se dum ghut ne laga hai ×2