لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Baba jaa'n (soz)

Shozab Abbas2014
ShiaNohaLyrics
Itni tanha hoon mein baba jaa'n Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n Qaid qane ki ye saqtiya'n Mujhpa rooti hain tanhaiya'n Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n Qaid qane ki ye saqtiya'n Mujhpa rooti hain tanhaiya'n Jab se bichda hai asghar mera Mere dil ka sukoo'n chal basa (2) Paoo'ngi mein use ab kaha'n Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n Qaid qane ki ye saqtiya'n Mujhpa rooti hain tanhaiya'n Pani lane ko ammu haye Nehr se Phir na wo aa sake (2) Hain sare naiza mehw-e fugha'n Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n Qaid qane ki ye saqtiya'n Mujhpa rooti hain tanhaiya'n Berida baba yu'n hogaiye Mujhpa chadar bhi rone lagi (2) Kyu'na girya kare'n do jaha'n Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n Qaid qane ki ye saqtiya'n Mujhpa rooti hain tanhaiya'n Badle purse ke taane mile Aur mooh per tamache lage (2) Ik yatima pa ye saqtiya'n Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n Qaid qane ki ye saqtiya'n Mujhpa rooti hain tanhaiya'n Haye beemar bhai mera Zulm ki jis pa hai inteha (2) Qasre zalim hai aur imteha'n Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n Qaid qane ki ye saqtiya'n Mujhpa rooti hain tanhaiya'n Tere seene pa soti thi mein Kuch sukoo'n baba paati thi mein (2) Wo sukoo'n ab mayassar kaha'n Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n Qaid qane ki ye saqtiya'n Mujhpa rooti hain tanhaiya'n Ab bhi hai mujhpa zulm o jafa Phir se weera'n hai roza mera (2) Zayero'n per hain pabandiya'n Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n Qaid qane ki ye saqtiya'n Mujhpa rooti hain tanhaiya'n Roke noha ye Qaisar likho Qabre sarwar pa shozab padho (2) Hai sakina ki ab bhi fugha'n Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n Qaid qane ki ye saqtiya'n Mujhpa rooti hain tanhaiya'n Baba jaa'n