لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karbala aur Hussain

Shozab Abbas2017
ShiaNohaLyrics
KARBALA AUR HUSSAIN A.S Ya hussain a.s ya hussain a.s karbobala(2) Karbala haq ki ja namaz bani Aur hussain a.s uski qibla gah bana Karbala farsh per bahesht bani Aur hussain uska badshah bana. Karbala rab ka aaena bani Aur hussain uski jalwa gah bana Karbala markaze hayat bani Aur hussain uski shah rah bana Khoon se shamma e islam ko jalati hai Hussain ya hussain (3) Khoon se shamma e islam ko jalati hai Har azadar ke seene se sada aati hai KARBALA AUR HUSSAIN A.S (4) Rab ki rehmat ka ye ishara hai Maa ki aagosh se pukara hai Her hussaini ka ye irada hai Aur zehra s.a ka bhi ye wada hai Loriyun mein hamen madar yahi sunati hai Har azadar ke seene se sada aati hai KARBALA AUR HUSSAIN A.S (4) Do hi lafzon se hai mera rishta Do hi lafzon se hai mera nata Do hi lafzon ka yaad hai kalma Do hi lafzon se hai meri dunya Do hi lafzon se meri maa mujhe behlati hai Har azadar ke seene se sada aati hai KARBALA AUR HUSSAIN A.S (4) Darse insaniyat ki manzil hai Han magar raste mein mushkil hai Dil mera is taraf hi maeyl hai Jaoon us paar ye mera dil hai Meri sanson ko bus wahan ki hawa bhati hai Har azadar ke seene se sada aati hai KARBALA AUR HUSSAIN A.S (4) Nara e haq hai ye shuja at hai Ba khuda ye bhi ik ibadat hai Jisko shabbir se mohabbat hai Uske lehje ki ye tilawat hai Rooh her waqt mere tan se lau lagati hai Har azadar ke seene se sada aati hai KARBALA AUR HUSSAIN A.S(4) KARBALA KYA HAI WAQIYA SUNO AAO SAB ISKA MARTABA SUNO Karbala dars gah e aadam hai Karbala maqtabe maqadam hai Karbala nooh ka safeena hai Aur ahmad ka ye madina hai Karbala raasta najat ka hai Aur islam ki hayat ka hai Karbala se wafa ki rasm chali Karbala mein najaf se aaeye ali a.s Karbala ka ye martaba bhi suno Isme basti hai shah ki khushbo Iska ye martaba hai bala tar Karbala hai musalla e sarwar Karbala mein hussain a.s soye hain Karbala mein rasool s.a roye hain Isme akbar a.s ka khoon shamil hai Yahi abbas a.s ki bhi manzil hai Yahan ghairat ka ik zamana hai Yahan qasim a.s ka bhi thikana hai Karbala haq parast ki dunyan Karbala hai wajood ka kalma Karbala se chali aza e imam Karbala hashr tak hai jaye imam (2) KARBALA AUR HUSSAIN A.S (4) HUSSAIN HUSSAIN HUSSAIN A.S (2) YE TARRUF TO KARBALA KA THA TAZKERA AB HUSSAIN KA HOGA Rab ke mehboob ki zaban hussain a.s Aur hai bolta quran hussain a.s Khuld ka dar nabi ke chain ka hai Ye taaruff mere hussain a.s ka hai Haq ke raste ka her qayam hussain a.s Ba zuban e wafa imam hussain a.s hussain a.s ishq ka samandar hai hussain a.s momino ka zewar hai Inki ye baat bhi batani hai Inki her baat bhi hi qurani hai Zikre shabbeer se wafa karlen Ab zara zikre karbala karlen Karbala mein hussain a.s ka jazba Sar kataya bachaya deene khuda Sheh ne islam ko najat diya Aur batil ko hans ke maar diya Nahna asghar a.s jahan sulaya hai Wahan islam ko bachaya hai Jazba e deene murtuza a.s dekho Zere khanjer khuda khuda dekho Zulm per sheh ka khoon bhari hai Masjidin mein azan jari hai Maujuza shahe mashaqain ka hai Maujuza ye mere hussain a.s ka hai (2) KARBALA AUR HUSSAIN A.S(4) Ya hussain a.s  Ya hussain a.s  Ya hussain a.s  Ya hussain a.s  Ya hussain a.s