لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain ka akbar

Shozab Abbas2019
ShiaNohaLyrics
Haye jawan Akbar jawan Haye jawan Akbar jawan *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )* Sina kaleje pa kha ker hussain ka Akbar Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 ) Madad ke waatse Kisko bulayie Koun aaye Sabhi to soote hain Khoo'n mein nahaeye Koun aaye Ye sadma Leta hai dil per (2) Hussain Ka Akbar a.s *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )* Hussain jisko Md ki tarha chahte thai Usse tadaapte huwe dekh payenge Kaise Ye sadma Leta hai dil per  (2) Hussain Ka Akbar as *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )* Jisse madina tarsata tha dekhne ke liye Zameene garm pa reh reh ke eydiya'n ragde Wo hum shabeehe payamber (2) Hussain Ka Akbar a.s *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )* Her eik zaba'n pa tha akbar ke husn ka charcha Kisi ka beta kahan itna khoobsurat tha Haseen Jitna tha dilbar (2) Hussain Ka Akbar a.s *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )* Jigar ka dard nikala hussain ne Kaise Na jane khud ko sambhala hussain ne Kaise Tadap ke margaya akbar (2) Hussain Ka Akbar a.s *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )* Nazar ke saamne Sughra bahen ki hai tasveer Sitam ne daaldi Paoo'n Mein mout ki zanjeer Madina jaye'n bhi kyunker (2) Hussain Ka Akbar a.s *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )* Hawa mein hato'n ko lehra rahe hai shah e zaman Zameen e karbobala per ujad gaya hai chaman Shaheed ho gaya Akbar (2) Hussain Ka Akbar a.s *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )* Kamayie lut gayie Jangal mein Umme laila ki Khili na sehre ki kaliya'n na ho saki shadi Huwa hai dee'n pa nichahwar (2) Hussain Ka Akbar a.s *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )* Bayan kaise ho Asif shahdate Akbar Ye goonjti thi ey Shozab sadaye'n reh reh ker Ke margaya Ali akbar (2) Hussain Ka Akbar a.s *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*