لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Baba sakina yateem hogayi

Shozab Abbas2020
ShiaNohaLyrics
Haaye Baba Sakeena yateem Hogayi (4) Ye Shame ghariba'n qayamat huwi Tamache lage sar se chadar chihni Koi khaima baba na baqi raha Kay mein aasra dhoondti reh gaee Har gam tumko sada meine di Baba Sakeena yateem Hogayi (2) Na pucho Kay kaise ye daman jala Na pucho ye khoo'n kaise jari huwa Badan kaise Qasim ka chahlni huwa Chihda kaise Asghar ka nazuk gala Poochoh na kya kya musibat padi Baba Sakeena yateem Hogayi (2) Bayan kya karooñ baba wo saqhtiyaa'n Kay mere gale mein bandhi reesma'n Kisi ne bhi mujhpar na khaya taras Layee'n khoob dete rahe jhidkiyan Muqaddar pa apne mein roti rahi Baba Sakeena yateem Hogayi (2) Wo dushwaar raste khatin marhale Jahan har qadam par tamashayee thai Shamjhte hamara wo kya martaba Hame baaghi kehkar wo haste rahe Magar bad'dua meine hargis na ki Baba Sakeena yateem Hogayi (2) Wo bemaar bhaiyya mera natawa'n Pahen kar jo chalta raha bediyaa'n Ye kehta raha ham hain aale eba Na dekho ye zehra ki hain betiyaa'n Kamar uski aey baba qam hogaee Baba Sakeena yateem Hogayi(2) Huwa raah mein taiz jab qafila Toh naqe pa mujhse na sambhla gaya Kaeyeen baar mein khaak par gir gaiye Har ek baar aagosh mein le liya Baqqaiyya se aati thi dadi meri Baba Sakina yateem Hogayi (2) Sitamgar kay darbar mein jab gaye To aey baba ghanton khade ham rahe Huwa meri ghairat ka phir imtehaañ Sada kisko deti bulati kisee Mein baba kaneezi mein maangi gaee Baba Sakeena yateem Hogayi (2) Tumhare bina baba kyun kar jiyun Yateemi kay taane mein kyun kar sahun Darate andhere hain zindaan kay Mein zinda'n mein kya apna dam tod dun Kay ab khaak hai ye meri zindagi Baba Sakeena yateem Hogayi (2) Aey Qaisar likho shaam ka majera Aey Shozab padho tum ye noha sada Sakeena ko baba ka sar jab mila To mooh rakh kay baba kay mooh par kaha Baba Sakeena yateem Hogayi Baba Sakeena yateem Hogayi (5)