لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain Zindabad

Shozab Abbas2022
ShiaNohaLyrics
Fatima ka qalb, noore ain zindabad Zaate Murtuza ke dil ke chain Zindabad Ho raha hai ban me shor o shain zindabad Zindabad Karbala Hussain Zindabad (2) Hussain Zindabad Karbala Hussain Zindabad Aarahi hai arsh se sadaye kibriya Karbala me aake keh rahe hain Anbiya Zindabad karbala Hussain Zindabad (2) Asr ki ghadi hai karbala ki khaak hai Aur Shabab khuld ka jigar bhi chaak hai Aale mustafa pe waqt karb naak hai Aaftab ki tapish bhi theek thaak hai Aise me ye keh rahi hai khaake Karbala (2) Nainawa Hussain ki Hussain ka Khuda Zindabad karbala Hussain Zindabad (2) Karbala azal se imtehan ki hai jaa Karbala me zaqm kha chuke hain Anbiya Karbala ke karb ki na thi koi dawa Karbala me maangti thi karbala panah Par Hussain ke lahu ka hai ye Maujiza (2) Aaj karbala ki khaak me bhi hai Shifa Zindabad karbala Hussain Zindabad (2) Dehr me zameen ki Jabee'n hai karbala Khuld ke makeen ki zamee'n hai Karbala Khoone shaahe deen ki amee'n hai karbala Is liye hame bahut Hasee'n hai karbala Noore Chashm Fatima Ali ke dil ka chain (2) Hashr tak yahan pa bas gaye hain Hussain Zindabad Karbala Hussain Zindabad (2) Anbiya o Auliya o Ausiya Imam Karte hain Salam karbala ko Subha shaam Soye hain yahan pe jis ghadi se tashna kaam Lete hain adab se saare karbala ka naam Be kafan ki laash ne ye Mojiza kiya (2) Chahiye Kafan sabhi ko karbala hi ka Zindabad Karbala Hussain Zindabad (2) Shah ne jo dashte nainawa khareed li Asl me toh qabr ki jagah khareed li Roshni bujhake khud Ziya khareed li Saath me khuda ki har Reza khareed li Deene Mustafa bacha hai aap se Hussain (2) Zikr kibriya bacha hai aapse Hussain Zindabad Karbala Hussain Zindabad (2) Jis tarha Hussain ne basayi Karbala Jis tarha se ban me apna ghar luta diya Jis tarha se asr tak saji thi qatl gaah Aur jis tarha hua wahan Khuda Khuda Hashr tak wo Daastan Khud sunayegi (2) Karbala Hussain ko na bhool payegi Zindabad Karbala Hussain Zindabad Arsh o farsh ki sada Hussain Zindabad Keh raha hai khud khuda Hussain Zindabad Hai Sadaye Mustafa Hussain Zindabad Bol uthe hain Murtuza Hussain Zindabad Hai Hamara vird Kya Hussain Zindabad Hai Hamara deen Kya Hussain zindabad Hai hamari fikr kya Hussain Zindabad Hai labon pa zikr Kya Hussain Zindabad Rooh me Basa hua Aur lahu me daurta Ibteda ki inteha Inteha ki ibteda Hussain Zindabad Hussain Zindabad Hussain Hussain Hussian Zindabad (2)