لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Thak Gaya Hai Hussain

Shozab Abbas2024
ShiaNohaLyrics
Maa Ye Karti Hai Bain (4) Thhak Gaya Hai Hussain (4) Karbala Se Ye Zahra Ki Aayi Sada Mera Beta Hai Lakht E Dil E Mustafa Zakhm Khaa Kar Woh Deeñ Ko Bachaane Chala Zulm Karte Haiñ Aada Woh Hai Be Khata Thhak Gaya Hai Hussain (4) Dekho Nana Nawaase Ne Deeñ Ke Liye Jaañ Nisaari Pa Apne Pisar De Diye Had Hai Abbas O Qasim Bhi Maare Gaye Itne Sadme Utha Kar Ye Kaese Jiye Thhak Gaya Hai Hussain (4) Kham Kamar Hogayi Jab Se Bhaayi Gaya Dard Bete Ka Beenaayi Sab Le Gaya Pyaas Itni Ke Shaq Hai Kalaija Tera Shiddat E Dhoop Se Tu Tadapta Raha Thhak Gaya Hai Hussain (4) Tujhko Maqtal Me Jaane Ki Taaqat Nahiñ Laashe Akbar Bhi Laane Ki Taaqat Nahiñ Qabr E Asghar Banaane Ki Taaqat Nahiñ Zakhm Saare Uthaane Ki Taaqat Nahiñ Thhak Gaya Hai Hussain (4) Kitne Naazoñ Se Bachpan Hai Tera Kata Zalimoñ Ne Tere Saath Ye Kya Kiya Kitni Raatoñ Ka Beta Tu Jaaga Huwa Aaja Maadar Ki Aaghosh Me Laal Aa Thhak Gaya Hai Hussain (4) Toone Akbar Ke Seene Se Kheñchi Sina Tere Chehre Pa Asghar Ka Khooñ Hai Ayaañ Haaye Tere Gale Par Chuhri Hai Rawaañ Aao Imdaad Karne Ko Ay Baba Jaañ Thhak Gaya Hai Hussain (4) Zulm Se Kiske Zakhmi Hai Teri Jabeeñ Kisne Beta Teri Pasliyaañ Tod Deeñ Jism Hai Tera Teeroñ Pa Ay Naazneeñ Phir Bhi Beta Ye Tu Bolta Kyuñ Nahiñ Thhak Gaya Hai Hussain (4) Bole Shabbeer Waade Ko Poora Karuñ Hai Ye Marziye Rab Sakhtiyaañ Maiñ Sahuñ Sajda E Shukr Me Zer E Khanjar Rahuñ Aap Hi Bolo Maa Ab Maiñ Kaese Kahuñ Thhak Gaya Hai Hussain (4) Asr E Ashoor 'Taqleed' Aañdhi Chali Shimr Ne Jab Gale Par Chaladi Chuhri Qabr E Haider Bhi 'Shozab' Larazne Lagi Roke Boli Ye Maqtal Me Bint E Nabi Thhak Gaya Hai Hussain (4)