لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aur Kitni dair

Shuja rizvi2011
ShiaNohaLyrics
Aur kitni Der Ya Hujaatibnil Hasan Ajjil ala Zahoorek Ya Sahebal Asre waz zamaan Al Amaan Al Amaan Al Amaan Maula rahegi Ghum ki fiza aur kitni der...2 Ab mangni hai humko dua aur kitni der...2 Maula rahegi gham ki fiza... Kab tak yazeedi khoon ke dariya bahaenge kab tak ye momenin bhi izzat bachaenge kab tak makaan humaare ye dushman jalaenge kab tak jawaan beton ki laashe uthaaenge marte rahenge ahle aza .... aur kitni der maula... ab mangni... Aamaal ne hume ye dikhaae hai gam pe gam Maula zahoor kijiye kuch kijiye karam Zaalim ne qatl karke kiya hum pe har sitam Hum hai gunehgaar magar aap ke hai hum Milti rahenge humko saza aur kitni der maula... ab mangni... Sadiya hui hai kam nahi hota hai ishteyaak Tha jaan par to pehle hi bhaari tera firaak Ab kam nasab humara udane lage mazaak Mushkil me aaj kitne hai Iran aur Iraq Hum denge Imtehane wafa aur kitni der maula... ab mangni... Hum hai ana paras pisaare pur guroor hai Hum to khumaare shohrate duniya se chur hai Milte nahi hai wo ye humare qusoor hai Wo humse to qareeb hai hum unse dur hai Maula se hum rahenge juda aur kitni der maula... ab mangni... Ye waqt Asr ka hai larazti hai karbala kehti hai Fatema hai bohot sakht marhala Gardan kati hai uski jo godi ka tha pala Khoon behgaya hai rehgaya sookha hua gala Pyasa rahenga laal mera aur kitni der maula... ab mangni... Zindaane shaam bol wo bacchi kidhar gai Khaae tamache usme anhdhere me dar gai zindaan me rote rote sakina guzar gai farzande Fatema ki azadar margai Zindaan me hogi zoro jafa aur kitni der maula... ab mangni... Darbaar shaam tak ki wo manzil kadi rahi Beti Ali ki sharmo haya se khadi rahi Sarpar rida nahi thi aziyat badi rahi Sarko jhukaae saatwe dar par khadi rahi Kehti hai Binte Shere khuda aur kitni der maula... ab mangni... Faryaad kar rahi hai abhi Zainaabe Hazeen Bazaar arze shaam wo kufe ki sar zameen Gardan ki pusht se wo bandhe pushte naazneen Mushkil kusha ki beti ko malum ye nahi Sarpar nahi rahegi rida aur kitni der maula... ab mangni... Dekhi na maine ek jhalak zulfikaar ki Hasrat rahi hai Karbobala ke mazaar ki Aankhe khuli rahi hai garib ubteyaar ki hichki meri hai aakhri had intezaar ki tehri rahegi meri kaza aur kitni der maula... ab mangni... kehte hai ye imam e zaman mai hu muntazar apno ke har amal ki magar hai mujhe khabar tu imtehaan de sake tera nahi jigar tayyar mai hu tu nahi tayyar hai qamar mai muntazir rahunga tera .... 2 aur kitni der Assalamo alaika Ya Imam e Zamana Assalamo alaika Ya Shareekal Quraan Assalamo alaika Ya  Khalefatar Rehman