لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya Zahra Ya zahra

Shuja rizvi2012
ShiaNohaLyrics
ya zahra ya zahra..(8) 1. Aadhi raat ki taariki me lekar chashme tar..(2) mere maula aa jate hai kabre zahra par haaye karbe imaame zamaana kabre zahra par ya zahra ya zahra..(2) 2. Sar ko jhuka kar kabr pe aakar rote rehte hai chupke chupke jaane kya kya maula kehte hai subbat alaiyya ki hai sadae marqad ke andar ya zahra ya zahra..(2) 3. Jaise baade asr hua tha laashe pisar ka haal maa ki marqad ko kar daala zaalim ne paamaal door talak bus ret hai phaili mitti aur kankar ya zahra ya zahra..(2) 4. Ek shikasta pehlu ki aawaaz me kya hai dard arshe ilaahi kaap raha hai chehrae dee hai zar ashk mei doobi hui mitti hai rote hai patthar ya zahra ya zahra..(2) 5. Ghaibat ke parde me hu mehroomi toh dekhe dadi apne pote ki mazloomi toh dekhe daadi meri ankho me hai shaam kaa har manzar ya zahra ya zahra..(2) 6. Raat ki aus hai din ki dhoop ka hai aazaar yaha qabr ke upar saaye kaa bhi koi nahi imkaa jaise zainab aur kulsum ke sar pe nahi chaadar ya zahra ya zahra..(2) "bibi farmaati hai baaba aapke baad mujhpe wo musibate aayi jo dino par padti to taareek raaton me badal jaate jo pahaado par padti to pahaad surme me badal jaate aaj bhi mahal shaah ke roushan hai magar teri kabr mutahhar pe na koi saaebaa hai na koi diya jalta hai ajab nahi ke kabre paighambar se aawaaz aati ho 7. Beti teri qabr pe abtak koi nahi saaya jaise tha begoro kafan karbal me tera jaaya kehti hai mitti mei ati yeh qabre paighambar ya zahra ya zahra..(2) 8. Arshe ilaahi hiltaa hai toh taare rote hai dadi aapki mazlumi pe saare rote hai girya kunaa hai saare imaam aur saare paighambar ya zahra ya zahra..(2) 9. Marqad se aati hai sada yeh binte payambar ki beta tere karb se waqif hai teri daadi mohsin ke bhi khoon ka badlaa wajib hai tujhpar ya zahra ya zahra..(2) 10. Dadi aapke paas hai ab bhi kurta asgar ka dadi mujhko bus lena hai mohsin kaa badlaa aap dua de khul jaae bus ghaibat kaa yeh dar ya zahra ya zahra..(2) 11. Haath me hai is waqt bhi mere haider ki talwaar mai toh har ek surat me hu aane ko tayyar roke qamar maula ne kaha tayyar nahi lashkar ya zahra ya zahra..(2)