لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya Sahib az-zamaan

Shuja rizvi2015
ShiaNohaLyrics
Jab mera maula zahoor karega kaabe ki deewar se tek lagakar mera maula kahega Ana baqiyatullah, mai baqiyatullah hu aye ehle alam, mera jadd hussain hai jisko pyasa shaheed kar diya gaya arey wo itna mazloom tha ke jise zalimo ne shaheed karne ke baad uske badan pe libas tak na chhoda aye mazloom hussain ke mazloom farzand aye talib e dame maqtool e karbala ya imam e zamana maine karbala ko padha hai maine karbala ko suna hai magar karbala ke manazir ko dekhkar khoon ke aansu bahane wale maula aap hi bataiye na karbala pe aale nabi pe kya guzar gayi ya hussain, ya hussain ya sahib az zamaan..(6) 1. Kijiye zara imam e zamaa'n karbala bayaa'n be sar pade hai khaak pe kuch laasha e jawaa'n girya kuna hai parda e ghaibat mein ek maa kis karb mein hai sadiyo se ya sahib az-zamaa'n maula ke dil mein zakhm hai taaza hussain ka ab tak nahi utha hai janaza hussain ka ya sahib az-zamaa'n 2. Maula sunaein aun o mohammad ki dastaa'n guzri thi kya hussain pe laasho ke darmiyaa'n dono janaze leke jo aaye shahe zamaa'n dekha khadi hai saamne khaime ke darr pe maa kaise behen ne bhai se aansu chupa liye ek maa ne kaise bachho ke laashe utha liye ya sahib az-zamaa'n 3. Khoo'n mein nahaya kis tarha bhai ka wo pisar karbal ki khaak par hue ghode idhar udhar kaise hussain pohche the dil ko sambhal kar bikhre the shah zade ke tukde zameen par rakha rida mein kaise tane paash paash ko shabbir kaise laaye the qasim ki laash ko ya sahib az-zamaa'n 4. Halat thi kya furaat pe us tashna kaam ki baazu kate the karta tha koshish salam ki aankho'n mein teer ye thi musibat ghulam ki ghazi ne kaise ki thi ziyarat imam ki tha pyaar kitna ghairat e ilyaas ke liye shabbir kitna roye the abbas ke liye ya sahib az-zamaa'n 5. Ya sahib az-zamaan wo manzar bataiye laashe pisar pe jaane ko shabbir jab badhe raste mein kitni baar wo baithe, uthe, gire peeri mein kaise baap koi ghutniyo chale laashe pisar pe kis tarha himmat sambhal li lakht e jigar ke seene se barchhi nikal li ya sahib az-zamaa'n 6. Maula bayaa'n karein na shahadat imam ki kaise luti thi dasht mein daulat imam ki maula bataein kya thi musibat imam ki kaisi thi maula aakhri rukhsat imam ki daman ko thame roti wo sadmo se kaun thi lipti wo zuljanaah ke qadmo se kaun thi ya sahib az-zamaa'n 7. Ya sahib az-zamaan baya'n kijiye safar teero'n se chhalni hogaya zahra ka jab pisar taari thi ghash hussain pe sar tha lahu mein tarr kaise gire the pusht e faras se zameen par awaaz di to hogi shahe mashreqain ne dekha to hoga aapko mud kar hussain ne ya sahib az-zamaa'n 8. Ya sahi az-zamaan guzarti thi sheh pe kya jab hurmula ki teer se nanha gala chhida mu se bajaye doodh ke taaza lahu baha bachha pidar ke haath mein jab munqalib hua kya haal e sabr tha dil e zahra ke chayn ka dekha to hoga aapne chehra hussain ka ya sahib az-zamaa'n 9. Kya fatema ka laal sare asr keh gaya ummat ke waaste jo har ek zakhm seh gaya chuma tha jo nabi ne gala khushk reh gaya nana ka khoo'n nawase ke gardan se beh gaya kaisa tha haal fatema ke noor e ayn ka khanjar se kat raha tha gala jab hussain ka ya sahib az-zamaa'n 10. Maula se sab hi kehna qamar ba dil e hazee'n ki sakht kitni aal pe kufe ki sar zamee'n guzre the kaise shaam mein wo abid e hazee'n puchna, sab poochna jo bhi aale nabi pe guzri thi sab poochna magar yaad rahe, khabar daar, khabar daar zainab pe guzri kya thi, kabhi puchna nahi larza hai zulfiqar to rukh par jalaal hai ye ghairat e imam e zamaa'n ka sawaal hai Ya hussain Ya hussain