لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aina mahdi e zaman

Shuja rizvi2017
ShiaNohaLyrics
Ya Mahdi, Ya Mahdi, Ya Mahdi..(2) Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2) 1. Mujhme taqwa wo nahi kaisr Ammar banu mujhme taqat wo nahi mai bhi Mukhtar banu Pisar e Fatema, na mai meesum hi bana Karbala mein jo bane aisa kirdaar banu Maula, Aaj tak aapki nusrat mein kiya kuch bhi nahi Mere daaman mein gunaho ke siwa kuch bhi nahi Aajaye naa yabna nabi.. Aajaye naa yabna ali.. Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2) 2. Kab hai Buzar ki tarha, kab hai Qambar ka hasham Garche maujood nahi hum mein Salmaan ka dam Pisar e Fatema, dil mein hai shaah ka ghum Aapke jadd ki qasam haan azadaar hai hum Maula, Aap to aaj bhi mazloom e bila nasir hai Maula hum aapki nusrat ke liye hazir hai Aajaye naa yabna nabi.. Aajaye naa yabna ali.. Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2) 3. Teri nusrat mein rahe mera dil meri zabaa'n Maalo shohrat bhi fida, ye zamee'n aur makaa'n Pisar e Fatema, jis pe qurbaan ho maa Tu ishara to kare tujhpe qurbaan ho jaa'n Maula, Baare sar gosh pe lekar mai kidhar jaunga Maula gar aap na aaye to mai marr jaunga Aajaye naa yabna nabi.. Aajaye naa yabna ali.. Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2) 4. Aakhri saas talak aapke saath hai hum Aapko dekha nahi phir bhi hai ek hi ghum Pisar e Fatema, sahib e lauh o qalam Mai hu majboor magar jaane maula ki qasam Maula, Kuch nahi chahiye maula mujhe duniya ki sanad Ye meri aakhri hichki hai meri aakhri hadd Aajaye naa yabna nabi.. Aajaye naa yabna ali.. Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2) 5. Yu biche farshe azaa, inke qirdaar bane Maaein zainab ki tarah dil ko mazboot kare Pisar e Fatema, hum bhi zalim se lade Khatm ghaibat ho agar, sue kaaba bhi chale Maula, Ye tamanna hai ke ye jaam shahadat ka piye Maao'n ne paala hai bacho ko isi din ke liye Aajaye naa yabna nabi.. Aajaye naa yabna ali.. Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2) 6. Muntazir rehte hai hum, hum hai maula ke ghulam Naukri humko mile, hum kare aapke kaam Pisar e Fatema, aap par mera salaam Dete taane hai adu, hai kaha'n tera imam Maula, Mehr jab parda e ghaibat se nikal aayega Bachke takfiri koi bhi ye kidhar jayega Aajaye naa yabna nabi.. Aajaye naa yabna ali.. Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2) 7. Chhod kar ilm o amal hum p aaya hai zawaal Jhooth, gheebat hai ghina, raks iblees ka jaal Pisar e Fatema, hum nahi rakhte khayal Kyu kamate hi nahi log ye rizq e halaal Maula, Zindagi karb e musalsal se nikal jayegi Aap aajaye to duniya ye badal jayegi Aajaye naa yabna nabi.. Aajaye naa yabna ali.. Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2) 8. Ashk aankho'n mekn jame, aur paseena hai kahi'n Mai yaha'n jaan ba lab, mere maula hai kahi'n Pisar e Fatema, malik e arsh o zamee'n Uska chehra bhi likha jisko dekha bhi nahi Maula, Mai raha aaj talak isliye zinda maula Ek baar aapka bus dekhlu chehra maula Aajaye naa yabna nabi.. Aajaye naa yabna ali.. Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2) 9. Pyaas phir bhi na bujhi jab chala hai khanjar Maa ki aghosh liye aur tadapta hai pisar Pisar e Fatema, kat gaya shaah ka sar Tukde tukde hai badan tukde tukde hai jigar Maula, Qasim o akbar o shabbir ka pursa lene Aaiye shaam ke darbaar ka badla lene Aajaye naa yabna nabi.. Aajaye naa yabna ali.. Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2) 10. Ek bachi ke liye hai tamacho ki saza Chhin gayi baaliya bhi, khoon aankho'n se baha Pisar e Fatema, maayein hai mehwe dua Shaam hai girya kuna, hai sakina tanha Maula, Aaj bhi qaid me hai shahe madina ke liye Maula aap aajaiye bus aap sakina ke liye Aajaye naa yabna nabi.. Aajaye naa yabna ali.. Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2) 11. Jaane dil jaane jigar koi dhundhe kaise Jungalo mei bhi phira, mujhko maula na mile Pisar e Fatema, hai kaha maula mere Itna rota mai raha khushk aasu bhi hue Maula, Neend aati hai na mujhe aur na mai so sakta hu Band darwaze ko hasrat se qamar takta hu Aajaye naa yabna nabi.. Aajaye naa yabna ali.. Aina Mahdi e zama'n, aina maula e jaha'n..(2)