لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ab bhi asghar so raha hai

Shuja rizvi2019
ShiaNohaLyrics
Haye asghar, haye asghar Hai lehed mein haath sheh ka lasha e besheer par ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par 1. Qabr mein baba se ye lipta hua hai aaj bhi hurmala ke teer se zakhmi gala hai aaj bhi sar burida baap ka yeh dekhta hai aaj bhi puri ginti ho na paayi gin raha hai aaj bhi zakhm naizo'n ke hai kitne seena e shabbir par ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par 2. Baap godi mein utha laaya ise kis aas mein rote hai aulad wale aalam e ehsaas mein hoti hai mehsoos larzish lasha e abbas mein nanhe hoto'n par zaba'n pheri hai kisne pyaas mein roye dushman dekh kar is ko shishe tazeer par ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par 3. Faisla bus hoga haq hai kaun batil kaun hai hurmala ki soch ka duniya mein hamil kaun hai munsife tareekh likhe ismein shamil kaun hai bekhata chhe maah ke bachhe ka qatil kaun hai mohr asghar ne lagadi nusrate shabbir par ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par 4. Jab burida seh gaye to in mein ek sar kam hua qabr taaza koi wo zalim chala tha dhundhta wo zamee'n par har jagah par gaadhta naiza chala lasha e asghar sina ke saath bahar aagaya dekh kar ye ghash hai taari madar e besheer par ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par 5. Ek sadaa girye ki hai zindaan ke zulmaat mein aur izafa ho raha hai din badin sadmaat mein baap ke seene pe soti hai sakina raat mein kitni hasrat aur hai kitna gila is baat mein aaj rona aagaya zindaan ki taqdeer par ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par 6. Kitni sadiya waris e shabbir ne sadma saha khoon ke aansu bahakar raat din rota raha nahiya mein ek bachhe ko salaam usne kaha chhe mahine ke bhala bachhe ka kya hai khoo'n baha khoon ka badla hai wajib waris e shabbir par ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par 7. Hichkiyo'n aur siskiyo'n ka ab bhi jaari hai safar har azakhane mein hai mashk o alam aate nazar ek hai taboot sheh ka phool aur ashko se tarr hai ali asghar ka jhula is liye khali qamar likh diya jaaye azakhane ki ye tameer par ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par