لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Roke kehti hai ye zainab

Sohail Zaidi2018
ShiaNohaLyrics
Roke kehti hai yeh zainab aye alamdar mere laut ke aao bhi darya se wafadar mere 1. aye mere lakhte jigar noor e nazar tashnadahaañ bayn karti h behañ khooñ bhi hai aankho se rawaañ kaise ghazi maiñ karu tujhse sitam hai yeh bayaañ zulm aulaad e payambar pe kare saara jahaañ baad tere hain khade sab hi giraftaar mere laut ke aao bhi darya se wafadar mere 2. dekho dil pe yuñh badha zakhm e judaayi bhayya ho gayi behna teri gham ki sataayi bhayya hye bekas hua maqtal me hai bhai bhayya lut gayi fatima zahra ki kamayi bhayya yaad sarwar kare tujhko aye madadgaar mere laut ke aao bhi darya se wafadar mere 3. Khun me rangeen alam aaya tera khayme me hogaya matam e abbas bapa khayme me haye ek ghaiz sa kohram macha khayme me sab ke lab pe thi faqat aaho buka khayme me bhai me hogayi laachar aye ghamkhwar mere laut ke aao bhi darya se wafadar mere 4. Qatl abbas ki goonji hai sada maqtal me bhai se hogayi ek behna juda jangal me toote hn kunbe pe sab zulm o sitam ek pal me aate hn karne ko aada bhi sitam pal pal me sunlo ab meri fugha sayyad o salaar mere laut ke aao bhi darya se wafadar mere 5. Chhin gayi sar se rida baade shahe wala jab Phirti thi khayme ke sarhane tmhari zainab Chhin gaye kaano se gaujar bhi sakina ke sab Kehti thi khoye kahañ ammu bhi mere ya rab hogi chadar bhi na sar pe sare bazaar mere laut ke aao bhi darya se wafadar mere 6. kehti hai bali sakina ke mujhe pyaas nahi zulm zalim kare yawar bhi koi paas nahi shimr khayega taras iski koi aas nahi haye ab meri madad ke liye abbas nahi laut ke aao tadapti hoon me dildaar mere laut ke aao bhi darya se wafadar mere 7. baad e abbas yahi kehte the sarwar rokar aake samjhao ke ab maange ijazat akbar khota hun aankh se beenayi mai tooti h qamar aalam e sakht me kaise de ijazat yeh pidar dekho sab chhut te hain bhai sabhi ansaar mere laut ke aao bhi darya se wafadar mere 8. ho chuka bekas o mazloom ka noha ye rakam dekho 'sohail' kare girya yeh kirtaas o qalam barpa hai shah ki majlis me jari ka matam bibi bhi ashk bahati hain sare farshe gham rone ko ghazi pe aaye hain azadar mere laut ke aao bhi darya se wafadar mere