لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas hai maula mera

Syed Ali Arbaz Jafri2025
ShiaNohaLyrics
Abbas ka aashiq bhi hoon aur hoon bhi salamat mat samjho ke paimana-e-wafa tod diya hai Abbas ki bahon ki qasam, karta juda mai Ye haath to matam ke liye chod diya hai Kya shaan hai kya martaba Abbas hai Maula mera Ab gham hai kya sab gham bhula Abbas hai Maula mera 1. Yeh Surate Sher-e-Khuda yeh hai dua-e-Syeda jagirdar-e-Karbala yehi to hai shehr-e-wafa Babul Hawaij bawafa Abbas hai Maula mera 2. Kehtay hain sab ahl-e-aza yeh hai Khuda bandah-e-wafa iska alam sab se juda kehti hai darya ki hawa Ghazi jari aur bawafa Abbas hai Maula mera 3. Naukar hai jo Abbas ka mansab usay Allah mila koi Qalandar ban gaya koi bana hai Aulia Sehwan se aati hai sada Abbas hai Maula mera 4. Har majlis-e-Shabbir mein tere alam ko tham ke naray laga kar matami Mushkil Kusha ke naam ke naray lagatay hain sada Abbas hai Maula mera 5. Pani pe lehraya alam dang ho gaye ahl-e-sitam uskay huwe jab haath num kar wa di gayi baazi qalam darya ki maujon ne kaha Abbas hai Maula mera 6. Babul Hawaij aap hain hajat rawai kijiyé Arbaz aur Salman par apna karam kar dijiye aur Irtiza ne yeh kaha Abbas hai Maula mera