لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kya dhoondh rahi hai

Syed Ata Abbas2017
ShiaNohaLyrics
kya dhoond rahi hai jangal may sakina abbas ke baazu ya baba ka seena 1. Manga tha shahe dee'n ne jise shab ki duao'n mein hai aaj wo shehzadi maqtal ki fizao'n mein naazo ki pali ka mushkil hua jeena kya dhoond rahi.... 2. Jalte hue daman ko rote hue takti hai shabbir ki masooma is tarha sisakti hai zakhmi hua haye shehzadi ka seena kya dhoond rahi.... 3. Wo dard hai kaano mein behta hai lahu taza koi nahi kar sakta in zakhmo ka andaza wo durro ka khana wo ashko ka peena kya dhoond rahi.... 4. Zalim se koi kehde ye naazo ki paali hai aye waaye sitam ghum mein chadar ki sawali hai ab kaise milegi ammu se hazeena kya dhoond rahi.... 5. Saqqa e sakina ko neend aa gayi darya par zakhmo ka kafan pehne soye hai abhi sarwar payegi na ye bachhi ab baba ka seena kya dhoond rahi.... 6. Zadd par hai mazalim ke ye phool si mazlooma maqtal se kaha'n jaye shabbir ki masooma toofa'n mein ghira hai sarwar ka safeena kya dhoond rahi.... 7. Ammu se koi kehde zinda'n mein tadapti hai darwaza e zinda'n par is aas mein baithi hai mai bhi kabhi dekhungi phir shehre madina kya dhoond rahi.... 8. Mar jaungi aye baba aaye na agar lene ye ho hi nahi sakta aaye na khabar lene baba se koi kehde roti hai hazeena kya dhoond rahi.... 9. Wo waqt e judayi ho halaat ki majboori sarwar se sakina ki ab tak nahi gayi doori maqtal mein anguthi hai zinda'n mein nageena kya dhoond rahi.... 10. Qismat pe zafar jiske likhi na thi azadi taa maut ata haye bhooli nahi shehzadi wo zakhmo mein marna, wo zakhmo mein jeena kya dhoond rahi hai jangal may sakina