لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khuwab-e-sakina

Syed Dayeem Raza2022
ShiaNohaLyrics
Qaid khane me sare shah e huda jab aaya Muh pe muh rakh ke sakina ne yahi farmaya Aap ke baad laeeno ne bahut tadpaya Apko yaad kiya jab bhi tamacha khaya Sogayi qaid me jab baap ke sar ko dekha Khuwab me rote huwe apne padar ko dekha Khuwab se chonki to madar se ye ro ro ke kaha Ab kuch hi der me le jayenge mujh ko baba Roke ye bali Sakina ne pukara amma Ajj Zindan se safar hoga hamara amma Saktiya aur nahi hoti gawara amma... 1)lao kursi koi tashreef wo laate honge Mere baba mujhe ab lene ko aate honge Koi masnad hoo to bichwao khudara amma.. 2)daur e ghurbat me karam itna sa farma dijiye Ye phata kurta sakina ka badlwa dijiye Mudate hogayi isko na utara amma .. 3)baap ke saamne sar nange mai jau'n kaise Baal choote hai mere muh ko chupau'n kaise Sar chupane ka nahi ab koi chara amma.. 4)muntazir apni sakina ki bade hain abbas Jam-e-kausar liye hatho me khade hain abbas Khuwab me dekha hai kausar ka Kanara amma.. 5)Bahe'n pehlaye huwe dekha hai Asghar ko abhi Jaise agoosh me rakhlega mere sar ko abhi Khuwab me usne bahen keh ke puakara amma.. 6)Qaidio aao yateema ki duaye lelo Sheh-e-deen aayenge sab sar pe ridaye lelo Be rida baitha hai kunba mera sara amma 7)aap reh jayegi Zindan me rone ke liye Baap ke seene pe jati hoon mai sone ke liye Waqt kis tarha se guzrega tumahra amma 8)dhiyan rakhna inhe zalim na sataye koi Bhaiya sajjad ko dura na lagaye koi Khuld me hogi mulaqat dubara amma.. 9)hashr me hogi meri nazre karam sahil par Hai maherban bahut shah-e-umam sahil par Aur Dayeem bhi to khadim hai hamara amma.. Ajj Zinda se safar hoga hamara amma