لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Janaza Hai Ali Ka

Syed Dayeem Raza2023
ShiaNohaLyrics
Hasnain ke kandho'n pa janaza hai Ali ka.. Sar peetlo taar Khoon me chehra hai Ali ka... 1) chaei huwi hai Charo taraf ghum ki ghataye Ghumge'n hai Zamee'n aur hain alamnak fizaye'n Hain noha kuna saqi-e-kausar me hawaye'n Har simt Ali haye Ali ki hain sadaye'n Honto'n pa falak walo ke..2 noha hai Ali ka... Janaza hai Ali ka .... 2) qura'n pa lagi zarb bikharne lage soorhe Mandlane lage chand sitaro'n pa andhere Veeran huwe hai parindo'n ke baseere Ghumlagaye hanste huwe phoolo'n ke ke bhi chehre Ghum Kitna asar dar..2 khudaya hai Ali ka ... Janza hai Ali ka.. 3) doobe hain ghum-fatha-e-khaibar me do aalam Nabio'n ke musalo'n pa bichi hai saafe matam Roone ka falak walo'n me ek shoor hai paihem Sar khole huwe aagaye hain mursal-e-azam Har Koi Malak marsiya..2 pardhta hai Ali ka .. Janaza hai Ali... 4) zehra ke yateemo pa qayamat huwi barpa Phir chagaya ankho'n me yateemi ka andhera Agoosh hai madar ki na baba ka hai Saya De kon yateemo ko tasali o dilasa Taboot bhare ghar se..2 nikalta hai Ali ka... Janaza hai Ali ka.. 5) Ummat ke liye mangata tha jis me duaye'n Jam jati jaha'n atsh nashino ki nigahaye'n Jis noor ki hoti thi falak par bhi shuwaye'n Janat ki jise choomti thi aake hawaye'n Matam Karo veeran wo..2 hujra hai Ali ka.. Janaza hai Ali ka... 6) hai ek taraf gnash me pardi zainab-e-kubra Deewaro se takrati hai kulsoom Sar apna Abbas ka dekha nahi Jata hai tadapna Aati hai nazar khak udhati huwi fizza Aye momeeno be asra..2 Kuba hai Ali ka.. Janaza hai Ali ka 7) kufe ke yateemo ke labo par hai ye noha Wo kon tha jo roz hame aake khilata Ye sun ke hassan bole Ali naam tha uska Farzand hoon Mai uska jo datha tha tumhara Ab zeere zamee'n dafn..2 janaza hai Ali ka .. Janaza hai Ali ka ... 8) zahid huwa madfan jo imam e dosara ka Dayeem utha har samt se ek Shor buka ka Thar aayi zameen kanp utha arsh e maula Kufa huwa sunsan laraz utha madina Ghum khanye kaba bhi..2 manata hai Ali ka