لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Karbala se lut ke nana Teri zainab aai hai

Syed Faizan2022
ShiaNohaLyrics
Karbala se lut ke nana Teri zainab aai hai Leke sare ghr ka sadma Teri zainab aai hai Ham pe jo guzri hai Nana kaese batlaun tumhe Kis tarah ummat ke sare zakhm dikhlaun tumhe Ho gaya taraj kunba Teri zainab aai hai Karbala.. Mar gaye abbas o qasim mar gaya akbar mera Pyas ke badle sitam ka teer asghar ko mila Leke abid ka sahara teri zainab ayi hai Kund khanjar shimr ka shabbeer ka sookha gala Dekhti main rah gayi katta raha sheh ka gala Kho ke bhai ko madeena teri zainab ayi hai Payas se bali sakeena jaan balab hone lagi Mashk ko lekar chala phir janib e dariya jari Lout ke aya na saqqa teri zainab ayi hai Qasim e gulpairahan run me gaya tha nana jaan Ho gaya pamaal bhai ki nishani neem jaan Karabala se bch ke dukhiya teri zainab ayi hai Khak arman ho gaye seene me jab naiza laga Main tadap kar bol uthi akabar ye tumko kya hua Ho gaya taaraaj kunba teri zainab ayi hai Dil mra seene me nana aaj bhi hai beqarar Mere dono laal ne mamu pe kar di jaN nisar Chhod kar sara gharana teri zainab ayi hai Karabala ke baad qaidi ban gaye ahleharam Chhin gayi chadar saro se ho gaye majbur hm Jhel kar har ghum ko zinda teri zainab ayi hai Tashna lab bali sakina thi gale me reesma Ro raha tha dekh kar manzar zameeno asma Mar gayi pyasi sakina teri zainab ayi hai