Baha Ke Ashk Ye Kulsum Ne Kaha Ghazi
Syed Furkan Abbas•2023
ShiaNohaLyrics
Baha Ke Ashk Ye Kulsoom Ne Kaha Ghazi
Tumhare Baad Bhara Ghar Ujard Gaya Ghazi
Kamar Husain Ki Tooti Tumhare Jane Se
Jawan Ki Lash Bhi Mehroom Thi Utha Ne Se
Na Tha Ghareeb Ka Koi Bhi Aasra Ghazi
Safar Taweel Hai Jaan Se Guzar Na Jaye Kahein
Sakina Qaide Museebat Mea Mar Na Jaye Kahein
Rasan Bandhi Hai Ghuta Jata Hai Gala Ghazi
Ye Raasta Bhi Hame Tay Ghamon Ka Karna Hai
Ba Rehna Sar Abhi Bazaar Se Guzarna Hai
Khule Saron Pe Urdha De Koi Rida Ghazi
Hazaar Gham Dilea Majrooh Par Uthaye Huwe
Khada Hai Abid E Bemaar Sar Jhukaye Huwe
Hujoom E Aam Ka Hai Eak Silsila Ghazi
Har Ek Mord Pe Hoti Hai Aisi Mehmani
Chaton Se Phekte Hai Ham Pe Khaulta Paani
Zamana Dushman E Aale Nabi Huwa Ghazi
Aseer Hogaye Aale Rasool Ghurbat Mea
Kisea Bulayein Madad Ke Liye Musibat Mea
Hamara Koi Bhi Monis Nahi Raha Ghazi
Har ek Samt Tamashayi Hain Sare Kufa
Tamasha Aale Payamber Bane Hain Wawaila
Sitam Ab Iss Se Bada Aur Hoga Kya Ghazi
Bayan Kaise Ho Furkhan Dard Ka Manzar
Ke Tadpi Mir Hilal Ek Laash Dariya Par
Pardha Jo Qaid Mea Khawahar Ne Marsiya Ghazi