لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas Abbas

Syed Mohd Taqi2016
ShiaNohaLyrics
Abbas abbas (4) Kehte hai lahoo apna bahakar tere gham khuwaar Abbas abbas (4) 1) Allah ka ki be misl shariyat ke muhaafiz Wallah tumhi chadar e ismat ke muhafiz Hadh yeh hai risalat ke imamat ke muhaafiz Shabbir ke lashkar ke alamdaar alamdaar 2) jo shah ki adawat me zabaa khol rahe hai Dar asl vo shaitaa ki zabaa bol rahe hai Ashiq tere har daur me anmol rahe hai Kardenge sitamgaaro ke mehlo ko bhi mismaar.. 3) Allah bhi raazi hai payambar bhi hai raazi Zehra bhi hai,sarwar bhi hai, haider bhi hai raazi Shabbir bhi khush, hazrat e shabbar bhi hai raazi Un sabse jo hai teri razaao ke talabgaar 4) yeh sir teri chowkhat pe jhukaane ke liye hai Aur haath alam tera uthaane ke liye hai Hum zinda tera sog mana ne ke liye hai Ho daur koi hum toh hai bas tere tarafdaar.. 5) tujh jaisa bahadur nahi koi bhi jahan me Larzish hai tere saamne har ek zabaa me Khuwaish hai tere deedh ki har ek jawan me Jarrar ka farzand bhi jarrar hai jarrar.. 6) zehra ke pisar hazrate haider ke dulaare Aye bazu e shabbir rasool o ke sahare Likhega bhala kaun fazail ko tumhaare Yeh azmo shujaa'at yeh wafa sabr yeh isaar.. 7) soye hue zehno ko phir ek baar jagade Koi umar e saad se jakar yeh batade Darya pe jo fauje hai unhone khud hi hata de Ataa hai sue nehar sakina ka alamdaar 8) islaam e muhammad ke liye haath kataye Maidaa ne shahdat me bohot zakhm hai khaaye Ha baali sakina ne bohot ashq bahaaye Kehte thay sare dasht yeh sarwar mere jarar.. 9) yeh majlis shabbir yehi maahe muharram Pehchaan taqi aur sharar apni hai Matam Kyu kar na rahe saamne abbas ka parcham Hum aaye khud dekh ke abbas ka darbaar.. Abbas abbas..