لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Khaak pe kaise soyi sakina

Syed Mohd Taqi2016
ShiaNohaLyrics
Sochta hu tassavur me aksar khaaq pe kaise sooi sakina Shah ka seena tha bibi ka bistar khaaq pe kaise sooi sakina. 1) qabr jaisa andhera makaa tha Khud andhera bhi mehve fuga tha Sara zindaa bhi giryaa kuna tha Keh ke rote thay deewaar aur dar.. Khaaq pe kaise soi sakina.. 2) jo sukoon e dil e shahedee'n thi'n Apne baba ke gham me hazi thi'n Maa ki godi me soti nahi thi Khaaq pe apne rukhsaar rakh kar. Khaaq pe kaise soi sakina.. 3) sina e shah pe vo hazina Bas sukoo'n se thi soti sakina Jab na paya tha baba ka seena Aya kaise sokoo'n vo mayyasar. Khaaq pe kaise soi sakina.. 4) shaam e gurbat me vo gham uthaaye Kis qadar zakhm hai dil pe khaaye Kaise kamsin ko phir neend aaye Odh kar dard aur gham ki chadar .. 5) har qadam jo lage thay tamache Haai rukhsaar zakhmi thay uske Zakhm rukhsaar ke kab bhare thay Khaaq pe apne rukhsaar rakh kar .. Khaaq pe kaise soi sakina.. 6) laadli thi jo ghar bhar ki aisi Godh me hi thi har waqt rehti Khaaq qadmo ne dekhi nahi thi Haai barpa hua kyu na mehshar. Khaaq pe kaise soi sakina.. 7) sina e shah pe tha usko sona Saan-e-haa aisa bacchi pe guzra Baba aaye nahi sir hai ayaa Tab samajh aya salman manzar Khaaq pe kaise soi sakina..