لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Na Majaye kahi

Syed Mohd Taqi2016
ShiaNohaLyrics
Haaye zahra haaye zahra (2) Na marjaaye kahi na mehramo ki bheed hai ghar me (2) Khuda jaane ke kya likkha hai zehra ke muqaddar me Na marjaaye kahi na mehramo ki bheed hai ghar me (2) 1) Abhi taza tha dil pe zakhm baba se bichadne ka Utha paayegi sadme kaise apni kok ujad ne ka Ayaa'n hote hai kitne dard is purdard manzar me... 2) Rasool-e-paak bhi jis dar pe apna sar jhukaate thay'n Farishte bhi jaha'n par sar ba sajda paaye jaate thay Lagate hai musalma'n aag be dardi se us dar me.. 3) Masaib malkaaye sharmo haya ke ho baya kaise Gira pehlu pe darwaza shahadat paai mohsin ne Tapakta hai lahoo chadar se ghar ki khaaq hai sar me.. 4) Yeh vo gham tha ke jis gham me zaifa hogai zahra Safedi chaa gai baalo'n pe peela hogaya chehra Chupakar rakhti hai khudko hamesha apni chadar me... 5) gale me haider-e-qarar ke jis dam rasan dekhi Pukari fatema sar se chadar ko hata dungi Ali ko chor do warna fana kardungi pal bhar me.. 6) Hamari jaane qurbaa'n fatahe haider ke mansab par Gale me raismaan-e-zulm aur hamd-e- khuda lab par Khuda jaane kitna sabr aur himmat hai haider me... 7) Gham-e-binte payambar hi jo ek gham ho saha jaaye Magar ek saath do do gham uthaayenge Ali kaise Gham-e-mohsin bhi shaamil hai, gham-e-binte payambar me.. 8) khuda jaane ke kya "Asif" kaha mohsin ke qatil se "Taqi" yeh kaun batlaaye kiya hai sabr kis dil se Nazar aai pisar ki laash jab, apni hi chadar me... Na marjaaye kahi na mehramo ki bheed hai ghar me (2)