لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Abbas Batao

Syed Mohd Taqi2025
ShiaNohaLyrics
Jab zeen se zameen pe aaya Ali ka sher Rukhsat is jahaan se lamho Ki thi jo der Awaaz di Hussain ko Aaqa salaam ho Abbas ja rahe hai yaha se ba-hisht ko Pohonche Hussain roote hue tham kar kamar Pochha lahu ko aankh se zanu pe rakha sir... • Kya tum Pe Guzar ti hai kehte thay Shahe wala Abbas batao Abbas batao • Kyu chhod ke jaate ho, pardes me yu Tanha Abbas batao Abbas batao 1) Shabbir pe gurbat me yeh waqt pada kaisa Tum chhod ke jaaoge humne nahi socha tha Ab kaun pukarega, aye bhai hume aaqa... Abbas batao(2) 2) Zainab tere raste pe palko ko bichaye hai Har tishna dahan tujhse ek aas lagaaye hai Hum kaise batayenge be-bazu hua saqqa.. Abbas batao(2) .. 3) Saqqa-e-Haram tum ho, lashkar ka bharam tum ho Shabbir ke baazu me, jitna bhi hai dum tum ho Kya tum ko gawara hai Zahra ka lutey Kunba... Abbas batao(2).... 4) Gazi" ne kaha Aaqa, mar gaya sab lashkar Lashkar ki jo raunak tha, mar gaya wo Akbar Ab kaisi alamdaari, salaar bane kiska... Abbas batao(2)... 5) Sheh ne kaha khaime me kehti yeh Sakina hai Aatey hai abhi Ammu, paani abhi aata hai Poochengi tumhara jab, kya usko bataunga... Abbas batao(2).... 6)Rote hue Gazi yeh, aye kehne lage Aaqa Sharminda Sakina se hai uska bohot saqqa Saqqayi na kar paya, ab ji ke karega kya... Abbas batao (2)... 7) Sheh kehne lage accha, ehsaan toh yeh karo Ek baar zara bhai, tum bhai Hume kehdo Mat bolo hume Aaqa, tum kehte nahi bhayya... Abbas batao(2).. 8) Gazi ne kaha bhai, taqat nahi, mutlaq hai Dil dubta jaata hai, yun aapke girye se Poochengi sare jannat, rone ka sabab Zahra... Abbas batao (2).... 9)"Salman" kalam se ho, manzar vo bayan kaise Ek bhai ke zanu pe, dam toda jo bhai ne Shabbir ke honton pe, tha der raha jumla... Abbas batao