لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Roke Bhai Se Jab Ye Behan Ne Kaha

Syed Mujtaba Kazim2024
ShiaNohaLyrics
Roke Bhai Se Jab Ye Behan Ne Kaha Aagye Aagye Bhaiya Hum Ye Kaha (1) Bhaiya Baba Ke Sine Pe Soti Thi Main Bhaiya Ammu Ki Godi Me Rehti Thi Main Bhaiya Akbar Ke Sath Main Chalti Thi Main Bhaiya Asghar Ko Jhula Jhulati Thi Main Lut Gayi Bhaiya Haye Meri Duniya (2) Bhaiya Baba Ka Sar Haye Kataya Gaya Bhaiya Ammu Ko Dariya Pe Maraya Gaya Bhaiya Akbar Ke Sine Pe Naiza Laga Bhaiya Asghar Ka Sar Bhi Toh Kata Gaya Zulm Ki Bhaiya Ab Hai Koi Intehan (3) Bhaiya Main Toh Madine Ki Shahzadi Thi Hasne Or Muskurane Ki Main Aadi Thi Na Rasan Basta Thi Na Main Faryadi Thi Mere Bachpan Ki Aisa Si Na Barbadi Thi Aaj Rassi Me Hai Mera Nannah Gala (4) Har Ghadi Yaad Ata Hai Mujhko Watan Jis Me Chhot Gayi Meri Payari Behan Thi Woh Bamar Pehle Hi Lagar Badan Tanha Kaise Sahengi Woh Ranzo Mehan Ek Zamana Use Dekhe Beet Gaya (5) Koi Godh Me Mujhko Uthata Nani Dard Paon Se Ab Mere Jata Nah Meri Imdaad Ko Koi Aata Nahi Payas Lagne Pe Pani Pilata Nahi Khamat Hota Nahi Zulm Ka Rasta (6) Bhokh Ka Gham Nahi Payas Ka Gham Nahi Nanne Paon Se Chalne Ka Ab Dam Nahi Khushq Aassu Hue Aakh Ab Nam Nahi Pucht Zakhmi Hai Durro Se Marham Nahi Gham Me Phirti Hoon Main Dar Badar Pe Rida (7) Dekh Pate Na Ammu Ye Haal Mera Zakhmi Kaano Se Khoon Ye Behta Hua Neele Rukhsar Mere Ye Kurta Jala Nanne Paon Me Phuta Hua Aablaa Sirf Ek Din Me Hi Kiya Se Kiya Ho Gaya (8) Is Liye Meri Uthti Nahi Hai Nazar Mere Baba Ka Sar Naine Ki Nok Par Dekh Ke Mera Phatta Hai Qalbo Jigar Meri Halat Pe Rota Hai Baba Ka Sar Kar Raha Hai Abhi Tak Jo Zikre Khuda (9) Kya Khabar Thi Safar Me Hi Mar Jaungi Laut Ke Na Kabhi Apne Ghar Jaungi Naam Apne Ye Zinda.N Main Kar Jaungi Ek Khush Lahad Me Utar Jaungi Hum Safar Mera Hoga Ye Kurta Jala (10) Bola Bhai Ye Aye Meri Payari Behan Bedi Paon Me Hai Tauq Me Gardan Misl Tere Hi Zakhmi Hai Mera Badan Tujh Se Sharminda Hun Dena Paya Kafan Teri Puri Wasiyat Main Kar Na Saka (11) Apne Ashq Ko Se Daman Woh Bharti Rahi Jo Andhero Se Zinda.N Ke Darti Rahi Raat Din Jo Watan Yaad Karti Rahi Qaid Khane Me Guth Guth Ke Marti Rahi Jis Ke Hotu Pe Arshi Ye Noha Raha