لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain Ja Chuke Ab Tera Kaam Hai Zainab

Syed Mussaib Rizvi2005
ShiaNohaLyrics
hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab ya hussain ya hussain x2 sham ke karbobala ka payaam hai zainab hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab ya hussain ya hussain x2 tassalli deni hain sajjad e natawan ko abhi Sambhalna hai sakina si neem jaan ko abhi tere liye to abhi ye bhi kaam hai zainab hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab ya hussain ya hussain x2 aseer karke yateemon ka karwaan zaalim phiraahenge abhi tujhko kahan kahan zaalim saza e darbadari tere naam hai zainab hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab ya hussain ya hussain x2 abhi yateemo ko dena hai hausla tune kai yazeedon ka karna hai saamna tune safar ki tujh pe musibat tamam hai zainab hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab ya hussain ya hussain x2 hazaar ranj uthayenge sayyede sajjad jigar pa zakhm abhi khayenge sayyede sajjad ye nahi ghar nahi hai ye darbar e aam hai zainab hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab ya hussain ya hussain x2 padegi sar pe abhi khaak e karbala bibi bohot taweel hai kufe ka raasta bibi yateem bacche hain aur rahe shaam hai zainab hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab ya hussain ya hussain x2 abhi to jana taareekh qaid khane me lagenge zakhm bohot ranjo gham uthane me watan nahi hai ye zindane shaam hai zainab hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab ya hussain ya hussain x2 abhi to ye bhi qayamat ka kaam karna hai har ashk bali sakina ke naam karna hai ye tu karegi wo kaare imam hai zainab hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab ya hussain ya hussain x2 zafar Madine me ek hashr ab bapa hoga watan me fatema sughra se saamna hoga wahan pe gham ka jahan ikhte taam hai zainab hussain ja chuke ab tera kaam hai zainab ya hussain ya hussain x2