لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Shaam Ne Maar Diya

Syed Raza Abbas Zaidi2009
ShiaNohaLyrics
rauze pe nabi ke aake, shano ke neel dihkake zainab ye buka karti thi haye nana shaam ne maar diya hai dukh sham e ghariban ke sehkar zinda rahi ghazi ki khwahar jab barse aseero par pathar sar ghazi ka naize se gira shaam ne maar diya hai haye nana.... akbar ka jigar chalni dekha saabir ki behan ne sabr kiya durro se badan zakhmi tha mera mai chup thi magar mehboob e khuda shaam ne maar diya hai haye nana.... jab aun o mohamed qatl hue shabbir utha laaye laashe mai shukr ke karti thi sajde sar ooncha mera bachon ne kiya shaam ne maar diya hai haye nana.... daman may utha kar jab shaahe huda jab qasim ka laaye laasha chup chup ke kiya maine girya gham apna kabhi zaahir na kiya shaam ne maar diya hai haye nana.... kyun mar na gayi ab sochti hoo abid ka baha jab aankh se khoon zinda rahi mai bechain o sukoon sham aagaya jis dam maine suna shaam ne maar diya hai haye nana.... tar khoon may hua asghar ka gala tha teer bhi uske khad se bada bano ko dilaasa maine diya karti rahi mai be-taygh [wigha] shaam ne maar diya hai haye nana.... us shehre sitam may ay nana kya tumse kahoo kya haal hua fizza ko kisi ne kuch na kaha durro ki mili zainab ko saza shaam ne maar diya hai haye nana.... sughra ne sakina ko poocha mai kya kehti rone ke siwa jab usne bahot majboor kiya tab sar ko jhukaye maine kaha shaam ne maar diya hai haye nana.... jo sher e khuda ki beti thi abbas ke tewar rakhti thi jo maut se bhi ek pal na dari us bibi ko rehaan o raza shaam ne maar diya hai haye nana....