لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Laasha Jari Ka

Syed Raza Abbas Zaidi2010
ShiaNohaLyrics
laasha jari ka qaimay may laaya na ja saka pyason ki tashnagi ko bujhaya na ja saka sheh bolay bhai humse khafa hogaye ho kya dekho hamari simt hilao to lab zara kyun bhai kehke humko bhulaya na ja saka laasha jari ka.... zaanu pe sar rakhay hue rotay rahe imam ghazi tadap ke bolay fida aap par ghulam kidmat ka haq bhi hum se chukaya na ja saka laasha jari ka.... zakhmi meri sakina ka mashkeeza hogaya maula ab iske baad mai jee kar karunga kya afsos haye waada nibhaya na ja saka laasha jari ka.... qaimay ki simt jaane ki baakhi rahi na taab sheh bolay doonga ky mai sakina ko ab jawab ghazi nahi ye raaz chupaya na ja saka laasha jari ka.... baazu kata ke nehr pe abbas sogaye maula hussain dasht may be-aas hogaye bhai ko haale dil bhi sunaya na ja saka laasha jari ka.... jeeti hai jung kisne bata dashte nainawa kiska tawaf karti hai khud nehre alqama qabza samar jari se chudaya na ja saka laasha jari ka....