لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bohot Delair They Ammu

Syed Raza Abbas Zaidi2011
ShiaNohaLyrics
Suwe Sakina takabbur se dekhta hoga Sawal beti ne maloon ki kiya hoga Yeh jiska naam Sakina hain kon hain baba Lahoo hain kanon se jaari data hua kurta Kaha yazeed ne beti se puch le khud hi Sakina boli khabardar tu agar boli Main Sakina hoon Mohammed ki main nawasi hoon Mujhe yeh yaad nahi jitne din ki pyaasi hu Mat kar koi sawal,na puch mera haal....x2 (Watan se dur bhi sheron ke sher the ammu Bohot delair the ammu....x2)x2 <span class="im" rgb(80,="" 0,="" 80);"=""> Yeh mera haal jo is waqt dekhti hain tu Sabab hain iska tera baap sun rahi hain tu Isine kunbe ko mere bulake luta hain Isine mere chacha ka bhi sar utara hain Mere chacha ko bazaron ne milke mara hain Bohot delair the ammu.....x2 Watan se dur bhi..... Bohot delair the ammu....x2 Akela jaan ke nau lakh lashkar uske Sage na jiski tarha haye unpe tut padte Kisine gurz lagaya kisine talware Bagair tegh lade woh falak ne dekha hain Labe faraat abhi tak alam chacha ka hain Bohot delair the ammu....x2 Watan se dur..... Bohot delair the ammu....x2 Jigar thamke binte yazeed sun meri baat Mere chacha se tera baap le saka na furaat Agrache dhoke se kate gaye chacha ke haath Yeh buzdili hain hame qaid karke laya hain Har ek lashkari tere pidar ka kehta hain Bohot delair the ammu....x2 Watan se dur..... Bohot delair the ammu....x2 Tu mere kano se behte lahu ko puchti hain Na kaise puchegi beti to tu yazeed ki hain Yeh khoon yeh kurta yeh mere gale me rasan Chacha ke baad sitam isne mujhpe dhaya hain Shaheed hoke bhi baki bharam chacha ka hain Bohot delair the ammu....x2 Watan se dur bhi..... Bohot delair the ammu....x2 Tu meri shaan Madinay me dekh leti agar Mila na sakhti thi meri kaneez se tu nazar Yeh tera baap jo baitha hain takht e shahi par Yeh isne bheek me sadat hi se paya hain Yazeed naam pe Gazi ke chauk jata hain Bohot delair the ammu....x2 Watan se dur..... Bohot delair the ammu....x2 Chacha ke hote kisiki bhi yeh majal na thi Meri phuphi ke gale me jo bandhta rassi Meri taraf koi kya dekhta nazar bharkar Chacha ke baad tamacha bhi maine khaya hain Yaha bhi hain unhe baba ne rok rakkha hain Bohot delair the ammu...x2 Watan se dur..... Bohot delair the ammu....x2 Gulamzadi hain tu main toh shahzadi hoon Jhulaye hure mera jhula uski aadi hoon Janabe Zehra ki chadar ke saye me hoon pali Yazeed bandh ke nake pe mujhko laya hain Ab unke sar se bhi nazrein churaya firta hain Bohot delair the ammu....x2 Watan se bhi..... Bohot delair the ammu....x2 Chacha to sang se pani nichod sakte the Woh alkama ko meri samt mod sakte the Unhe to izne wiga hi na diya baba ne Shaheed hoke bhi Gazi laqab unhi ka hain Bhala yeh martaba kisne jahan me paya hain Bohot delair the ammu....x2 Watan se dur.... Bohot delair the ammu.....x2 Yazeed unke kate sar se khauf khata hain Woh dekh chakke gulamon ke saath baitha hain Woh din bhi ayega nafrat karegi baap se tu Mera chacha mera baba imamzada hain Yazeed to unki nalain se bhi chota hain Bohot delair the ammu.....x2 Watan se dur..... Bohot delair the ammu....x2 Jami hain pyaas labon par yeh imtehaani hain Meher me dadi ke dono jahan ka pani hain Hamare dada ko kehte hain saqiye kausar Laqab bahisht ka mere chacha ne paya hain Agar woh chahe to pani baras bhi sakta hain Bohot delair the ammu...x2 Watan se dur.... Bohot delair the ammu...x2 Yeh sunke ashk jo binte yazeed ke tapke Utar ke baap ki godi se maazrat karke Kaha Sakina se main bhi kaneez aapki hoon Jo hukm ho toh main dil bhi yahi kehta hain Kaha Sakina dil tera mere dil sa hain Bohot delair the ammu... Watan se dur .... Bohot delair the ammu....x2 Yeh jung jeeti Rehan o Raza Sakina ne Ajeeb shaan se hamla kiya Sakina ne Ali ki poti thi Abbas ki bhateeji thi Labe Sakina se nikli woh baat zinda hain Lahad pe bali Sakina ke ab bhi likha Bohot delair the ammu....x2 Watan se dur bhi..... Bohot delair the ammu  ...x2 Nanhi se lehad Sham me maujud hain logo Masum ki lalkar ne zindaan nahi choda Lagta hain ke sadiyon se Sakina ki fuga Abbas ke qatil ka girehbaan nahi choda