لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Beemar chhod de

Syed Raza Abbas Zaidi2012
ShiaNohaLyrics
Beemar chhod de..(2) raahe pidar ki dekhna beemar chhod de..(2) chaukhat pe aake baithna beemar chhod de raahe pidar ki dekhna beemar chhod de beemar chhod de.. 1. Dehleez par jo aate hai, hai taaer lahu mai tarr aati hai jinke paas se sughra bu e padar kya hai sabab ye puchna, beemar chhod de.. 2. Hai sar bureeda laashe, nahi koi ab tera akbar tadap tadap ke sare dasht mar gaya sehre ke khwaab dekhna, beemar chhod de.. 3. Asghar ki yaad sughra, tujhe khoo'n rulaegi kurta lahu bhara hua maa leke aaegi jhule ke paas baithna, beemar chhod de.. 4. Aangan me khelta na, sakina ko paogi godi me kisko leke kahani sunaogi raunak wo ghar ki sochna, beemar chhod de.. 5. Qabr e nabi larazti, hai sunkar ye tere bayn naize pe khoon rota hai sughra sare husain baba ko yu pukarna, beemar chhod de.. 6. Kooze me kyu ye chehra e asghar jhalakta hai jab naam lu sakina ka pani chalakta hai aise sawaal puchna, beemar chhod de.. 7. Aaega khoo'n me dooba, alamdaar ka alam abbas seh na paae sakina ka tha wo ghum wo haath sar pe sochna, beemar chhod de.. 8. Masnad pe kaun baithega, aakar puphi ke saath kiske liye bichai hai bibi ye janamaaz hujre ko yu sawarna, beemar chhod de.. 9. Abid ki khoon roti, hui chashme ghum samar kehti thi haaye dasht me maare gaye padar raato ko uthke dhoondhna, beemar chhod de.. raahe pidar ki dekhna beemar chhod de..(2) beemar chhod de..(2)