لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Laasha behan behan

Syed Raza Abbas Zaidi2012
ShiaNohaLyrics
Haaye haaye haaye, haaye husain..(2) Guzri jo qatl gaah se, zainab jigar figaar aakhe'n lahu lahu thi, badan par ghumo'n ka baar laasho'n ko dekh dekh ke, roti thi zaar zaar kehti thi jald aaiye, yaa shah e zulfiqaar kaise batau kya mere, dil par guzar gai... laashe pe bewatan ke jo, mai nange sar gai haye baba... ghurbat me qatl hogaya mazloom bewatan mai bhai bhai kehti thi, laasha behan behan..(3) 1. Teero'n pe tha rakha hua, laasha husain ka dooba hua lahu me, tha kurta husain ka awaaz thi husain ki behna kafan kafan mai bhai bhai... 2. Aayi na raas do ghadi, pardes ki fiza kunba shaheed hogaya, mera ghar ujad gaya pardes des ghayr ka apna watan watan mai bhai bhai... 3. Ek dil pe daagh maine, bahattar utha liye kuch daagh maine qalb ke, andar chhupa liye chupte nahi chupaane se daaghe rasan rasan mai bhai bhai... 4. Dekha hai baba maine, jo manzar batau kya naizo'n pe rakha hua, sar har shaheed ka ghodo'n ke daudne se tha tukde badan badan mai bhai bhai... 5. Qasim ki laash laaye, the daman me shahe dee'n sehre se beniyaz thi, naushaah ki jabee'n ek shab ki rehne payi na jiski dulhan dulhan mai bhai bhai... 6. Barchi kaleja e ali, akbar me jab lagi baba ko di sada kabhi, awaaz mujhko di kehta tha seena thaam ke amma chubhan chubhan mai bhai bhai... 7. Baba hasan se taba, husain e shaheed tak baba ameer e shaam se, daur e yazeed tak loota hai ehle shaam ne baba chaman chaman mai bhai bhai... 8. Ghazi ke baad aur, qayamat guzar gayi pyaaso ki aas tootke, ban me bikhar gayi ek shor al atashh ka bapa tha dahan dahan mai bhai bhai... 9. Ye naukri bhi khoob hai, rehan aur raza bhai ki naukri ka, behen ne diya sila Han wo behen ye nauha tha jiska sukhan sukhan mai bhai bhai... Haye baba...