لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mere Baba Ke Azadar Mera Haal Suno

Syed Raza Abbas Zaidi2013
ShiaNohaLyrics
Suno suno suno Meri turbat Meri gurbat ka pataa deti Hai Abhi zinda'n se sakina ye sadaa deti Hai Suno suno suno 1) aaj Tak baba ke seeney ko tarasti Hoon my Yaad karti Hoon unhey aur tadaptii Hoon my Raat hotii Hai to aahat se bhi dartii hoon my Aaj Tak shimr ke durro se laraztii Hoon my Tum Jo aajaatey Hai pal bhar ko ghar lagtaa Hai warna zindaa se mujhey aaj bhi darr lagtaa Hai Suno suno suno Merey baba ke Azadar Mera haal suno 2) Meri gardan merey kaano se lahuu jaari Hai Saans leney mey abhi Tak mujhey dushwaari Hai Mustaliq shaam e gareeba se ye beydaari Hai Shimr ka qauf lahad mey bhi bohat taari Hai Tum Jo aajaatey ho tab jaan mey Jaa'n aati Hai Aisa lagtaa Hai lahad par Meri maa aati Hai Suno suno suno Merey baba ke Azadar Mera haal suno 3) aabley paav ke chalney nahi detey they mujhey Qaar raaho ke sambhalney nahi detey they mujhey Zaqm pehlu ke badalney nahi detey they mujhey Dard halqey se nikalney nahi detey they mujhey Garm reytii pey bhi soney ki ijaazat na milii Baap ki yaad mey roney ki ijaazat na milii Suno suno suno Merey baba ke Azadar Mera haal suno 4) jispey sotii thi wo seena huwa aisa chalni Jaisey zindaan mey Hai Mera kaleja chalni Qalb e akbar ko karey jis tarah naiza chalni Jaisey mashkeeza labb e nehr huwa Tha chalni Chalni chalni mera Dil Mera jigar Hai ab Tak Jaari marqad mey bhi Zaqmo ka safar Hai ab Tak Mere baba ke azadar mera haal suno 4) jispey sotii thi wo seena huwa aisa chalni Jaisey zindaan mey Hai Mera kaleja chalni Qalb e akbar ko karey jis tarah naiza chalni Jaisey mashkeeza labb e nehr huwa Tha chalni Chalni chalni mera Dil Mera jigar Hai ab Tak Jaari marqad mey bhi Zaqmo ka safar Hai ab Tak Suno suno suno Merey baba ke Azadar Mera haal suno 5) ek sitamgaar Ney maanga Tha kaneezi mey mujhey Mujhpey phekey Gaye sadqey ke hazaaro qurmey Sang barsaatey rahey mujhpey layee'n kotho se Khaaye ghum Ashq piye aur kahi tootey faaqey My Ney dukh jheley Hai darbaar ke baazaaro ke Phir bhi thandey na kalejey huwey kuffaaro ke Suno suno suno Merey baba ke Azadar Mera haal suno 6) dukh merey shaam e gareeba se chaley shaam talak Durrey khaaye Hai Jo paani ka liya naam talak Maut hamwaar thi aagaaz se anjaam talak Sirf gundey hi nahi lutgaya aaraam talak Pursa deney nahi sab log sataaney aaye Qaid qaaney mey layee'n mujhko rulaaney aaye Suno suno suno Merey baba ke Azadar Mera haal suno 7) abr mey bhi Meri gardan ka Hai rassi ka nishaa'n Qaid e tanhaayi Hai my Hoon ye andhera zindaa'n Sab rihaa hogaye Hai qaid Meri aah o fugaa Sunti hoon Hai yehi nazdeek phupii ka bhi makaa'n Ye sitam wo hai ke gunjaayish faryaad nahi Me wo qaidi Hoon Meri qabr bhi aazaad nahi Suno suno suno Merey baba ke Azadar Mera haal suno 8) shaam jaana ho mayassar tumhey Rehan o Raza Marqad e baali Sakina se ye aati Hai sadaa Karbala jaao to leyjaana ye paigaam Mera Yaad Karti Hai bohat tumko Sakina baba Ye bhi kehna ke har Ek zaqm haraa Hai ab Tak Reesma khulgayi majrooh galaa Hai ab Tak Mere baba ke azadar mera haal suno