لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Amma gawah rehna

Syed Raza Abbas Zaidi2015
ShiaNohaLyrics
Haaayee hussain bewatan (2) khanjar tale hu pyaasa,  bhai raha na beta ,ay waarise rukaiya nana se jaake kehna , maine nibhaya waadaa Ammaa…..haaaye Amma gawah rehna (6) Khanjar tale bhi dekho sajde me sar hai mera Nau laakh  qaatilo ne tanha samaj ke ghera Wada nibha raha hu Amma gawah rehna (4) Che roz ho gaye hai mujhe paani na mila Akbar ki naujawaani ,asgar ki bezubaani Sehra me kho chukka hu Amma gawah rehna (4) Tiro ne chhaan daalaa , amma mere badan ko Kitna garib hu ab mohtaaj hu kafan ko Halat baadshaah hu Amma gawah rehna (4) Jalti hui zaameen par tiro ka hai bichona Is haal me na dekhe mujhko meri sakina Tiro pe so raha hu Amma gawah rehna (4) Kuch der pehle amma asgar ko dafn karke Bano ko jab khabar di , ankho me ashk bharke Khud laash ban gaya hu Amma gawah rehna (4) Sine se naujawan ke kaise nikaale barchi Barchi ke saath amma , meri bhi saas tuti Binaai dhundta hu Amma gawah rehna (4) Aap aye hai sunaane , naade ali sunaane Mujhko talab kiya hai , amma mere khuda ne Jaake me jaa raha hu Amma gawah rehna (4) Rehan aur raza ki jo naukri hai amma Zakhmo ka tere marham nauha jari hai amma Mai unko chahta hu Amma gawah rehna (4) Haaaye hussain bewatan (2)