لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon

Syed Raza Abbas Zaidi2015
ShiaNohaLyrics
Sheh ne farmya (3) farmaya….sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2) Tumne jo is tarah mujhe , ghera hai kufiyon Farmaya….sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2) Mai bewatan garib nawasa rasul ka Mere badan me khu aliyo batul ka Kya maine dil kisiska dukhaya hai kufiyon Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2) Tumne mere jawaan ko maaraa mai chup raha Pehra labe furat lagaya mai chup raha Paani dikha dikha ke giraaya hai kufiyon Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2) Taswir e murtaza wo alamdaaar e karbala Bebast hoke khaak pe ke jis waqt gir padaa Tumne meri Kamar ko jhukaayaa hai kufiyon Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2) Gar jang ke iraade se aataa mai karbala Bacho ko saath kis liye lata hai karbala Mujhko kadam kadam pe rulaya ahi kufiyon Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2) Apne watan ko chhod ke jata nahi koi Aaraam chain apan gawaata nahi koi Khat bhej bhej ke jo tumne bulaya hai kufiyon Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2) Paani ki jaisi chiz mayassar nahi mujhe Tum farze mezbaani na ek din nibha sake Asgar ko aabe pilaya ahai kufiyon Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2) Sehmi hui sakina hai manzar ye dekhkar Khu uski baaliyon pe jamaaye hue nazar Tu mujhko zinda laash banaya hai kufiyon Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2) Khanjar tale hussain the rehan aur raza Aawaz e irjae this are maktal e jafaa Bole hussain rudbaa jalayaa hai kufiyon Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2)