لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hai mera bhai kahan

Syed Raza Abbas Zaidi2016
ShiaNohaLyrics
Wa hijaba wa abbasa..(6) Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha hai mera bhai kaha'n zainab e muztar pukari shamiyo ke darmiya'n hai mera bhai kaha'n Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha hai mera bhai kaha'n Mere ghazi tu meri chadar laade 1. Zamine chadar banakar laayi thi ghar se jise mai sadaye de rahi hu koi batla de use sar khula hamsheer ka hai hone waali hai azaa'n hai mera bhai kaha'n Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha hai mera bhai kaha'n Mere ghazi tu meri chadar laade 2. Wo amama ho rida ho sar se nisbat hai use kaun hai ye saanha batlaye ab zainab kise bhai ka sar meri chadar hai sare nauke sina hai mera bhai kaha'n Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha hai mera bhai kaha'n Mere ghazi tu meri chadar laade 3. Haath se chehra chhupau ya ke dhaapu apna sar tu madad kar ab ghareebo ki khuda e behrobar haath kab azaad hai bandhi gayi hai rassiya'n hai mera bhai kaha'n Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha hai mera bhai kaha'n Mere ghazi tu meri chadar laade 4. Tumko pala hai bade naazo se is dilgeer ne dediya tha bachpane hi mein mujhe shabbir ne aye ali akbar bata do tum to na lo imtehaa'n hai mera bhai kaha'n Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha hai mera bhai kaha'n Mere ghazi tu meri chadar laade 5. Saaqiye kausar ka beta aur saqqa e haram ye khabar aayi hai uske hogaye baazu qalam maut hai sar par khadi aur le raha hai hichkiya'n hai mera bhai kaha'n Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha hai mera bhai kaha'n Mere ghazi tu meri chadar laade 6. Qabr e asghar ki taraf rukh karke dukhiya ne kaha ae mere kamsin mujahid ye mere sarki rida shimr kaise cheen sakta tha jo tum hote jawa'n hai mera bhai kaha'n Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha hai mera bhai kaha'n Mere ghazi tu meri chadar laade 7. Roohe zainab aajtak jis ghar pe rehan o raza dekhti hai parchame abbas par doshe hawa puchti hai wo kaha'n hai jiska parcham hai nishaa'n hai mera bhai kaha'n Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha hai mera bhai kaha'n Mere ghazi tu meri chadar laade..(2)