لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ishq e ali o zahra hussain

Syed Raza Abbas Zaidi2016
ShiaNohaLyrics
Ya Hussain, Ya Hussain Ishq e ali o zahra hussain Ya Hussain, Ya Hussain 1. Arshe bari ho jiska musalla sajda jise karta ho qibla jiski sukunat sehne kaaba jiska amama gumbade khazra jisse hai aabru, deene khuda ki wo hussain haideri zebo zayn, fatima zehra ka hai chayn Ya Hussain, Ya Hussain Ishq e ali o zahra hussain Ya Hussain, Ya Hussain 2. Shane qayadat roohe imamat jiski mawaddat ajre risalat barsare naiza husne tilawat sabr hai jaisa waisi shaja'at aye shahe mashraqayn, aye dil o jaane karbala aap hi ibteda, aap hi ishq ki intehaa Ya Hussain, Ya Hussain Ishq e ali o zahra hussain Ya Hussain, Ya Hussain 3. Chehra tera wan-najm ki surat gesu tere wal-layl ki aayat badr e tamami qad aur qamat aankho ki hai wan-noor alamat qalbe qur'an ke, noor mein baham hai hussain usme ek lafz hai, uska mujassam hai hussain Ya Hussain, Ya Hussain Ishq e ali o zahra hussain Ya Hussain, Ya Hussain 4. Hurr se dilawar kya the, kya hai rahib o fitrus tujhpe fida hai jitne shaheede karbobala hai teri ataa pe mehwe sanaa hai sura e rehman ki, puchiye kya tafseer hai khud kahega khuda, bus wo mera shabbir hai Ya Hussain, Ya Hussain Ishq e ali o zahra hussain Ya Hussain, Ya Hussain 5. Karbobala ab humko bulaye farshe zamee'n par arsh dikhaye khake shifa dastaar banaye roze pe tere sar ko jhukaye karbala naam hai, ishq ki us me'raj ka paa sake koshishe, karke bhi na jise ambiya Ya Hussain, Ya Hussain Ishq e ali o zahra hussain Ya Hussain, Ya Hussain 6. Kaisi sahar ashoor ki aayi kaisi sitam ki aandhi chhayi baqi rahe na bete bhai roti rahi tujh par tanhai ran ko jo bhi gaya, tujhpe fida hota raha ro rahi hai aaj bhi, gham me tumhare karbala Ya Hussain, Ya Hussain Ishq e ali o zahra hussain Ya Hussain, Ya Hussain 7. Fakhr hame salman o raza hai humko mayassar farsh e azaa hai fatima zehra ki ye ataa hai lab pe hamare jo nauha hai baadshahi se badh-kar, hai hamari naukri dhadkane qalb hai, naam e hussain ibn e ali Ya Hussain, Ya Hussain Ishq e ali o zahra hussain Ya Hussain, Ya Hussain