لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Maa aayegi hussain

Syed Raza Abbas Zaidi2016
ShiaNohaLyrics
Madar e aqdas ki turbat pe gaye jis dum hussain hogaye hairan pehle se waha'n barpa the bayn pucha jab shabbir ne amma se rone ka sabab qabr e zehra se sadaa aayi nahi hai dilko chayn nana se kiya wada jab tum nibhaoge maa aayegi hussain..(2) nana se kiya wada jab tum nibhaoge maa aayegi hussain..(2) Mimbar sina ki nauk pe jab tum sajaoge maa aayegi hussain..(2) nana se kiya wada jab tum nibhaoge maa aayegi hussain..(2) 1. Aye laal jab khareedoge maqtal ki tum zamee'n rakhna khayal ho wo zamee'n neher ke qareeb jab neher se sakina ko paani pilaoge maa aayegi hussain..(2) 2. Rakhna qadam zameen par lekar ali ka naam karna na bhulna abu talib ko tum salam bint e asad ki nazr waha jab dilaoge maa aayegi hussain..(2) 3. Baade namaz e jung ka aaghaz dekhne hurr jaise jaanesar ka andaaz dekhne ghode pe hurr ko padhke dua jab bithaoge maa aayegi hussain..(2) 4. Waqt e sahar azaa'n ali akbar ki hogi jab doobega khoon roke waha'n mahtab e shab aur tum safe namaz e shahadat pe jaoge maa aayegi hussain..(2) 5. Karke khizaab khoon se asghar ki laash par thaame hue jigar ko jhukae hue nazar laasha, laasha garam zameen mein jis dum chupaoge maa aayegi hussain..(2) 6. Wo hausla bhi dekhne beta mai aaungi lekin nigaahe tujhse mai kaise milaungi mayyat jawan laal ki jab tum uthaoge maa aayegi hussain..(2) 7. Jab zeen na zameen par hoga tera badan teero pe laash hogi teri jab ke bekafan tum amma amma kehke hume jab bulaoge maa aayegi hussain..(2) 8. Hai ye sada baqiyyah se rehan aur raza karte hai jo jahan mein beta teri azaa bakshish ko unki hashr mein jab tum bulaoge maa aayegi hussain..(2) nana se kiya wada jab tum nibhaoge maa aayegi hussain..(2)