لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mai kaise chalu baba

Syed Raza Abbas Zaidi2016
ShiaNohaLyrics
Ya hussain, ya hussain..(2) mera qad chota, phupiya hai badi..(2) gardan mein rasan sabke hai bandhi..(2) mai paao'n zamee'n par kaise rakhu mai kaise chalu..(4) mai kaise chalu baba, kaise chalu baba gardan mein hai reesma, dukh raha hai gala mai kaise chalu baba, kaise chalu baba gardan mein hai reesma 1. Mere payr zamee'n par tikte nahi aur zalim hai ke rukte nahi ab dard se mai chillati hu aada ke tamache khati hu..(2) ghum, ranjo masaeb, alam sehti hu har dum sitam rukti nahi hai jafa, dukh raha hai gala kaise chalu baba, gardan mein hai reesma mai kaise chalu baba, kaise chalu baba gardan mein hai reesma 2. Dada meri mushkil karde kusha hojaye meri hajat ye rawa na saya hai na paani hai dadi ki kahani maani hai..(2) aye mushkil kushaye jahan mushkil mein hai meri jaa'n mar jaungi ba khuda, dukh raha hai gala kaise chalu baba, gardan mein hai reesma mai kaise chalu baba, kaise chalu baba gardan mein hai reesma 3. Bhai hai mera beemar e hazee'n godi mein mujhe le sakta nahi zanjeer e sitam hai payro mein aur khaar biche hai raaho mein..(2) wo rota hai mere liye rou mai uske liye jaari hai ye silsila, dukh raha hai gala kaise chalu baba, gardan mein hai reesma mai kaise chalu baba, kaise chalu baba gardan mein hai reesma 4. Chalti thi kabhi mai phoolo mein mai soti nahi thi jhoolo mein bistar tha mera tera seena kya yaad nahi tumko baba..(2) mai sojati is khaak par itni thakan hai magar aayegi ab neend kya, dukh raha hai gala kaise chalu baba, gardan mein hai reesma mai kaise chalu baba, kaise chalu baba gardan mein hai reesma 5. Mai payro chal kar jaati thi ammu ke gale lag jaati thi godi mein chacha behlate the aur zere alam le jaate the..(2) jo hota agar bawafa hoti qayamat bapa kehdeti gar mai chacha, dukh raha hai gala kaise chalu baba, gardan mein hai reesma mai kaise chalu baba, kaise chalu baba gardan mein hai reesma 6. Rehan o raza wo shahzadi ek lamhe ko khaamosh hui najane khayal aaya kaisa wo kehne lagi rokar dukhiya..(2) haye, khanjar se kaata gaya baba tumhara gala kaise kahu mai bhala, dukh raha hai gala kaise chalu baba, gardan mein hai reesma mai kaise chalu baba, kaise chalu baba gardan mein hai reesma