لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hazrat ki sawari

Syed Raza Abbas Zaidi2017
ShiaNohaLyrics
Jab aakhri rukhsat ko hussain aaye haram se sab bibiya'n lipti shahe waala ke qadam se hazrat ne kaha qat'e mohabbat karo humse aur jeene ke nahi ali akbar ke alam se kehkar yeh sukhan shaah ke aasu hue jaari arey seene se lipat bhaai ke zainab ye pukari aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2) 1. Dukhiyari hu bhaiyya na meri aas ko todo sadqe gayi pardes mein behna ko na chhodo ab jaiyo jab jee'n se guzar jaaegi zainab..(2) hazrat ne kamar bandhi to marr jayegi zainab aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2) 2. Amma ki ye takeed thi marr jaiyo zainab jaye ye jaha'n saath chali jaiyo zainab mai saath chalungi tu jaha'n jaega bhai..(2) sharminda mujhe amma se karwaega bhai aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2) 3. Hazrat ki qasam mujhko do beto ka bhi ghum ho duniya mein koi ho na ho bus aapka dumm ho bachpan se kabhi sheher mein bichhdi na safar mein..(2) so marne ko tum jao mai baithi rahu ghar mein aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2) 4. Aye bhai jaha'n jaoge mai saath chalungi jungal mein rahu ghar ka kabhi naam na lungi aada ki ladai se na darr jaegi zainab..(2) katwa ke gala tegh se marr jaegi zainab aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2) 5. Rakh lijiyo jaate hue ek baat hamari wo baali sakina jo tumhe jaan se pyaari seene pe bus ek baar sula lijiyo isko..(2) aadab yateemi ke sikha dijiyo isko aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2) 6. Allah ko saupa tumhe aye zainab o kulsoom lag jao gale tumse bichhad ta hai ye mazloom ab jaate hi khanjar se katega mera halqoom..(2) hai sabr ka lamha ye tareeqa tumhe maloom aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2) 7. Abbas ka ghum puche koi dil se hamare aage mere maare gaye do bhaanje pyaare farmate the behen ali akbar guzar gaye..(2) hum aise sakht jaan hai ab tak na marr gaye aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2) 8. Farzand nahi bhai bhatija nahi koi thame jo rakaab aanke itna nahi koi zehra ki sada aayi ye baa girya o zaari..(2) aye laal mai thamungi rakaab aaj tumhari aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2) 9. Is halq ka aur tegh ka ehwaal ghazab hai khamosh anees ab ke ye hangaam adab hai aaqa se talab kar tujhe jis shay ki talab hai..(2) ye rona rulana teri bakhshish ka sabab hai aye sayyad e mazloom, behen hogayi waali mai jaane nahi dene ki, hazrat ki sawari..(2) hazrat ki sawari..(2)