لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Baba ki kuch batein suna

Syed Raza Abbas Zaidi2018
ShiaNohaLyrics
Jaane kya haadsa hai hone ko jee bohot chahta hai rone ko Boli ye sughra aye baad e saba baba ki kuch baatein suna baba ki kuch baatein sunao, batein sunao ghabra raha hai dil mera..(2) baba ki kuch baatein suna baba ki kuch baatein sunao, batein sunao boli ye sughra... 1. Mai muntazir hu baba se kehna sab haal mera jaake batana..(2) boli ye sughra... dua meri leja, tu jaake hawa baba ki kuch baatein suna baba ki kuch baatein sunao, batein sunao 2. Bus aye hawa tu akbar se kehna marr jaungi to aaoge bhayya..(2) boli ye sughra... waada kiya tha, bhula kyu diya baba ki kuch baatein suna baba ki kuch baatein sunao, batein sunao boli ye sughra... 3. Baba ki khushbu mujhko sungade kis des mein hai itna bata de..(2) boli ye sughra... alam tune dekha, chacha ka bata baba ki kuch baatein suna baba ki kuch baatein sunao, batein sunao 4. Akbar ne shaadi jis dum rachayi sach kehna usko mai yaad aayi?..(2) boli ye sughra... lagta tha kaisa, wo dulha bana baba ki kuch baatein suna baba ki kuch baatein sunao, batein sunao 5. Asghar ko mere tum pyaar karna wo ghutniyo ab chalta to hoga..(2) boli ye sughra... balaein bhi lena, use choomna baba ki kuch baatein suna baba ki kuch baatein sunao, batein sunao 6. Sunkar sawar ye jaati hawa ne dekha raza jo aansu chupake..(2) boli ye sughra... rona hai kaisa, chupati hai kya baba ki kuch baatein suna baba ki kuch baatein sunao, batein sunao Boli ye sughra aye baad e saba baba ki kuch baatein suna